Thursday 27 February 2014

Taar Taar Pairahan Men Bhar Gai Hai Boo-E-Dost

Taar Taar Pairahan Men Bhar Gai Hai Boo-E-Dost
Misl Tasweer Nahali Men Hoon Ya Pehloo-E-Dost

Hijr Ki Shab Ho Gai Roz-E-Qayamat Se Daraaz
Dosh Se Neeche Nahin Utrey Abhi Gesoo-E-Dost

Daagh-E-Dil Par Khair Guzri To Ghaneemat Jaaniey
Dushman-E-Jaan Hain Jo Aankhen Dekhti Hain Soo-E-Dost

Farsh-E-Gul Bistar Tha Apna, Khaak Par SoteHain Ab
Khisht Zer-E-Sar Nahi Ya Takia Tha Zaanoo-E-Dost

Yaad Kar Ke Apni Barbaadi Ko Ro Dete Hain Ham
Jab Uraati Hai Hawaa-E-Tund Khaak-E-Koo-E-Dost

Is Balaa-E-Jaan Se ''Aatish'' Dekhiey Kiyun-Kar Nibhe
Dil Sawa Sheeshe Se Naazuk,Dil Se Naazuk Khoo-E-Dost ...

No comments:

Post a Comment