Tuesday, 25 February 2014

Us Ne Sakoot e Shab Mein Bhi Apna Payaam Rakh Diya,

Us Ne Sakoot e Shab Mein Bhi Apna Payaam Rakh Diya,
Hijr ki raat baam per maah -e- tamam rakh diya,

Aamad e dost ki naveed koye wafa mein garam thi,
Main nay bhi ik charaagh sa dil sar -e- shaam rakh diya,

Shiddat -e- tishnagi mein bhi gherat -e- May-kashi rahi,
Us ne jo phaink di nazar, main ne bhi jaam rakh diya,

Us ne nazar nazar mein hi aisay bhalay sukhan kehay,
Main nay bhi us k paoon mein sara kalaam rakh diya,

Dekho ye mere khuwab thay, dekho ye mere zakham hein,
Main ne to sab hisaab -e- jaa bar-sar-e-aam rakh diye,

Jo bhi mila us ka dil halqa bagoosh yaar tha
Us ne to saaray shahar ko kar k ghulam rakh diya,

Aur Faraz Chayiyen kitni mohabbatain tujhe,
Maaon Ne Tere Naam Par Bachon Ka Naam Rakh Diya ...

No comments:

Post a Comment