Tuesday 25 February 2014

Ya Rab ! Ye Jahan-e-Guzran Khoob Hai Lekin

Ya Rab ! Ye Jahan-e-Guzran Khoob Hai Lekin
Kyun Khawar Hain Mardan-e-Safa Kaish-o-Hunar Mand

Go Us Ki Khudai Mein Mahajan Ka Bhi Hai Haath
Dunya To Samajhti Hai Farangi Ko Khudawand

To Barg-e-Gya Hai Nadhi Ahle-e-Khirad Ra
Aur Kisht-e-Gul-o-Lala Babkhashand Ba Kharay Chand

Hazir Hain Kalisa Mein Kabab-o-Ma’ay Gulgoon
Masjid Mein Dhara Kya Hai Bajaz Moaza-o-Pand

Ahkaam Tere Haq Hain Magar Apne Mufassir
Taveel Se Quran Ko Bana Sakte Hain Pazand

Firdous Jo Tera Hai, Kisi Ne Nahin Dekha
Afrang Ka Har Qariya Hai Firdous Ki Manand

Muddat Se Hai Awara -e- Aflaak Mera Fikar
Kar De Isse Ab Chand Ki Gharon Mein Nazarband

Fitrat Ne Mujhe Bakhse Hain Johar-e-Malkooti
Khaki Hun Magar Khaak Se Rakhta Nahin Paewand

Darvesh-e-Khuda Mast Na Sharqi Hai Na Gharbi
Ghar Mera Na Dilli, Na Safahan, Na Samarqand

Kehta Hun Wohi Baat Samajhta Hun Jise Haq
Ne Abla-e-Masjid Hun, Na Tehzeeb Ka Farzand

Apne Bhi Khafa Mujh Se Hain, Begane Bhi Na-Khush
Main Zehar-e-Halahil Ko Kabhi Keh Na Saka Qand

Mushkil Hai Ke Ek Banda-e-Haq Been-o-Haq Andesh
Khashaak Ke To De Ko Kahe Koh-e-Damawand

Hun Atish-e-Namrood Ke Shaolon Mein Bhi Khamosh
Main Banda -e- Momin Hun, Nahin Dana-e- Aspand

Pursoz-o-Nazarbaz-o-Nikobeen-o-Kam Azar
Azad-o-Giraftar-o-Tehi Keesa-o-Khorsand

Har Haal Mein Mera Dil-e-Be Qaid Hai Khurram
Kya Cheenay Ga Gunche Se Koi Zauq-e-Shakar Khand !

Chup Reh Na Saka Hazrat-e-Yazdan Mein Bhi Iqbal
Karta Koi Iss Banda-e-Gustakh Ka Munh Band !

No comments:

Post a Comment