Thursday 27 February 2014

Zikr Us Pariwash Ka, Aur Phir Bayaan Apna,

Zikr Us Pariwash Ka, Aur Phir Bayaan Apna,
Ban Gaya Raqeeb Aakhir Tha Jo Raazdaan Apna,

May Wo Kiyun Bohst Peete Bazm-E-Gair Main Yaa-Rab,
Aaj Hi Hua Manzoor Un Ko Imtihaan Apna,

Manzar Ik Bulandi Par Aur Ham Bana Sakte,
Arsh Se Idhar Hota Kaash Ke Makaan Apna,

De Wo Jis Qadar Zillat Hum Hansi Mein Taalein Ge,
Bare Aashna Nikla Unka Paasbaan Apna,

Dard-E-Dil Likhoon Kab Tak? Jaaun Un Ko Dikhla Doon,
Ungliyaan Figaar Apni Khaamakhoon Chakaan Apna,

Ghiste Ghiste Mit Jaata Aap Ne Abas Badla,
Nang-E-Sajda Se Mere Sang-E-Aastaan Apna,

Ta Kare Na Gamaazi, Kar Liya Hai Dushman Ko,
Dost Ki Shikayat Main Ham Ne Ham-Zabaan Apna,

Ham Kahaan Ke Daana The Kis Hunar Mein Yakta The,
Be-Sabab Hua 'Ghalib' Dushman Aasmaan Apna ...

No comments:

Post a Comment