Thursday, 27 February 2014

Zulmat Kaday Mein Mere Shab-E-Gham Ka Josh Hai

Zulmat Kaday Mein Mere Shab-E-Gham Ka Josh Hai,
Ik Shamma Hai Daleel-E-Sahar, So Khamosh Hai,

Na Muzda-E-Wisaal Na Nazaara-E-Jamaal,
Muddat Hui Ki Aashti-E-Chashm-O-Gosh Hai,

May Ne Kiya Hai Husn-E-Khudaara Ko Be-Hijaab,
Ay Shauq Yaan Ijazat-E-Taslim-E-Hosh Hai,

Gauhar Ko Ikd-E-Gardan-E-Khubaan Main Dekhna,
Kya Auj Par Sitara-E-Gauhar-Farosh Hai,

Deedar, Wada, Hausla, Saaqi, Nigaah-E-Mast,
Bazm-E-Khayaal Maikada-E-Be Kharosh Hai,

Ay Taaza Waaridan-E-Bisaat-E-Hawa-E-Dil,
Zinhaar Gar Tumhein Hawas-E-Na-O-Nosh Hai,

Dekho Mujhe Jo Deeda-E-Ibarat Nigaah Ho,
Meri Suno Jo Gosh-E-Nasihat Niyosh Hai,

Saaqi Ba Jalwa Dushman-E-Imaan-O-Aagahi,
Mutarib Banagma Rahzan-E-Tamkin-O-Hosh Hai,

Ya Shab Ko Dekhte The Ki Har Gosha-E-Bisaat,
Daaman-E-Baagbaan-O-Kaf-E-Gul-Farosh Hai,

Lutf-E-Khiraam-E-Saaqi-O-Zauq-E-Sada-E-Chang,
Ye Jannat-E-Nigaah Wo Firdaus-E-Gosh Hai,

Ya Subh Dam Jo Dekhiye Aa Kar To Bazm Mein,
Naa Wo Suroor-O-Soz Na Josh-O-Kharosh Hai,

Daag-E-Firaaq-E-Sohbat-E-Shab Ki Jali Hui,
Ik Shamma Rah Gai Hai So Wo Bhi Khamosh Hai,

Aate Hain Gaib Se Ye Mazmin Khayaal Mein,
'Ghalib', Sarir-E-Khaama Nawaa-E-Sarosh Hai ...

No comments:

Post a Comment