ho na duniya main koi hum sa bhi piyasa logoo
jee main aati hay k pee jayen ye darya logoo
kitni is shaher k sakhiyoun k suni thi baatien
hum jo aaye to kisi ne bhi na pocha logoo
itefaqan he sahi, par koi dar to khulta
jhilmilata pas_e_chilman koi saaya logoo
sab k sab mast rahay apne nihaa khanoun main
koi kuch baat musafir ki bhi sunta logoo
hoonge is shaher main kuch us k bhi parhney walay
youn to ye shaks bhi mashhour tha khasa logoo
kisi daaman, kisi aanchal ki hawa to milti
jab sar_e_rah ye daamandha gira tha logoo
ik tasveer thi, kya janiye kis ki tasveer
naqsh muhoom se, or rang ura sa logoo
ik awaaz thi, kya janiye kis ki aawaaz
us ne aawaaz ka rishta bhi na rakha logoo
kuch pata us ka humain ho to tumhain batlaaien
koun ghar? koun nagar? koun muhallah logoo
chand hurfoun ka muamma tha wo uljha suljha
us ne to naam bhi poura na bataya logoo
haaye ye dard k mushkil se thama tha dil me
chand ponam ka abhi se nikal aaya logoo?
phir wohe dasht, wohe dasht ki tanhaiye hay
wahshat e dil ne kaheen ka bhi na rakha logoo
us main himmat hay to dar aaye,outha de ye hisaar
apne gunbad main to dar hay na dareecha logoo
jee ki jee he main rahainhasrataien toofaan ki
ye safina to kinaray he pe douba logoo
aaj ki daak se kya koi lifafa aaya?
kaisi sargoshiyaan kartay ho. aray kya logoo
koi paighaam zubani bhi nahi kuch bhi nahi
hum ne apne ko bohot dair samhala logoo
band aankhain howe jaati hain, pasaaraien paaon
neend si neend? humain ab na outhana logoo
ik he shab hay taveel,itni taveel, itni taveel
apne aiiyaam main imroz na farda, logoo
ab koi aaye to kehna musafir to gaya
ye bhi kehna k bhala ab bhi na jata logoo
rah taktay howe pathra si gayen theen aankhain
aah bhartay howe chalni howa seena logoo
hoont jaltay thay jo layta tha kabhi aap ka naam
is tarha or kisi ko na sataya logoo......!!!