Jab se yeh peghaam
mila hai,
Jaana’n! tum aaney
wali ho,
Mausam ne sarey ghar
ki tarteeb badal kar rakh daali hai,
Chokhat per ik chaand
bhi aa kar beth geya hai,
Keyi sitaare lounge
mein kab se pare huye hain,
Kehte hain ke,
Is raste se tum guzro
gi,
Nanhe mune gulabon ka
kehna hai,
Jitne din tum pass
raho ge,
Ghar ke har konay
mein aakar woh mehkain ge,
Phoolon ne mil kar
sab konay baant liye hain,
Jugnu kab se chat pe,
ghar ke,
Har goshay mein
chamak rahe hain,
Suraj aur barish bhi
kal se saaye’baan per tikkay huye hain,
Dheemey dheemey
chehek rahe hain,
Shaam to kab se kayi
tarah ke mausam le ker,
Is kamrey mein ruki
hui hai, Jis kamrey mein tum thehro ge,
Tum aao ge to yeh
shaam hazaron mausam,
Sundar sundar sajji
huyi ankhon ko de ker
Kho jayegi,
Phir na kabhi wapis
aaye gi,
Is se pehle ke yeh
shaam bhi,
Sarey mausam leker
mujhko khaali karke kho jaye,
Tum aajao naa’n,
Aabhi jao….
No comments:
Post a Comment