Saturday, 20 September 2014

adhooray khwaab ke andar

adhooray khwaab ke andar
kabhi palkain bachana mat


adhooray khwaab aankhon ko buhat takleef daitay hain
adhori yaad ko dil ki zameen main tum nahin bona


adhori yaad dadhkan main buhat chubti sisakti hai
khalish ban ker khatakti hai


lahoo main bijliyan ban ker bhatakti hai

adhoray payar ko …….

laikin chalo choro, janay do is ko tum
muhabat, payar, chahat, ishq hotay hi adhoray hain

No comments:

Post a Comment