Wo jin k seene main mudaton se
dabi hai khawaish mohabbaton ki
dabi hai khawaish mohabbaton ki
Is aarzoo k ewaz mile hain jo un ko saare azaab likhna
Yaqeen na uth jaaye aadmi ka khaloos-e-mehr-o-wafa se dekho
Yaqeen na uth jaaye aadmi ka khaloos-e-mehr-o-wafa se dekho
Agar jo nafrat ki baat chero to chahton ke b baab likhna
Agar jo qudrat tumhi ko soonpe tumhari kismat ka faisla to
Agar jo qudrat tumhi ko soonpe tumhari kismat ka faisla to
mere daaman main aag dena aur apni kismat suhaab likhna
Hain dil main noohe hazar pinhan aur ungliyan b figaar apni
Hain dil main noohe hazar pinhan aur ungliyan b figaar apni
Khushi k nagme alapne se hainab gurezan rubaab likhna
No comments:
Post a Comment