Wednesday, 30 July 2014

Ho Tere Bayaban Ki Hawa Tujh Ko Gawara

Ho Tere Bayaban Ki Hawa Tujh Ko Gawara
Iss Dasht Se Behter Hai Na Dilli Na Bukhara

Jis Simat Mein Chahe Sifat-e-Seel-e-Rawan Chal
Wadi Ye Humari Hai, Woh Sehra Bhi Humara

Ghairat Hai Bari Cheez Jahan-e-Tagg-o-Dou Mein
Pehnati Hai Darvesh Ko Taj-e-Sar-E-Dara

Hasil Kisi Kamil Se Ye Poshida Hunar Kar
Kehte Hain Ke Sheeshe Ko Bana Sakte Hain Khara

Afrad Ke Hathon Mein Hai Aqwam Ki Taqdeer
Har Fard Hai Millat Ke Muqaddar Ka Sitara

Mehroom Raha Doulat-e-Darya Se Woh Ghawwas
Karta Nahin Jo Souhbat-e-Sahil Se Kinara

Deen Hath Se De Kar Agar Azad Ho Millat
Hai Aesi Tajarat Mein Musalman Ka Khasara

Dunya Ko Hai Phir Ma’arka-e-Rooh-o-Badan Paish
Tehzeeb Ne Phir Apne Darindon Ko Ubhara

Allah Ko Pa-Mardi-e-Momin Pe Bharosa
Iblees Ko Yourap Ki Machinon Ka Sahara.

Taqdeer-e-Umam Kya Hai, Koi Keh Nahin Sakta
Momin Ki Firasat Ho To Kafi Hai Ishara

Ikhlas-e-Amal Mang Nayagan-e-Kuhan Se

‘Shahan Che Ajab Gar Banawazand Gada Ra !’

No comments:

Post a Comment