Majnoon nay sheher
chora, tu Sehraa bhi chor day
Nizaray ki hawas ho
tu Laila bhi chor day
Wa'az! kamal-e-tarq
se milti hai yaan muraad
Duniya jo chor dii
hai to uqbaa bhi chor day
Taqleed ki rawish se
tu behtar hai Khud-Kushi
Rasta bhi dhoond,
Hizar ka soda bhi chor day
Mannand-e-Khama Teri
zuban per hai harf-e-gair
Begana Shay pe
Nazish-e-Bejaa bhi chor day
Lutaf-e-Qalaam kya je
naa ho dil mein DARD-e-ISHQ
Bismil nahe hai tu to
Tarapna bhi chor day
Shabnam ki tarah pholoon
pe ro, aur chaman se Chal
Iss Baagh mein Qyaam
ka soda bhi chor day
Acha hai dil kay pass
rahay pasbanay Aqal
Lakin kabhi kabhi
issay tanha bhi chor day
Hai Ashiquee mein
rasam alag sab se bethna
But-Khana bhi, Haram
bhi, Kaleesa bhi chor day
No comments:
Post a Comment