Sunday, 27 July 2014

Sach kah dun ai brahman gar tu bura na mane

sach kah dun ai brahman gar tu bura na mane
tere sanam kadon k but ho gaye purane

apnon se bair rakhna tu ne buton se sikha
jang-o-jadal sikhaya waiz ko bhi Khuda ne

tang ake akhir main ne dair-o-haram ko chora
waiz ka waz chora, chore tere fasane

patthar ki muraton mein samjha hai tu Khuda hai
khak-e-watan ka mujh ko har zarra dewata hai

a gairat k parde ik bar phir utha dein
bichron ko phir mila dein naqsh-e-dui mita den

suni pari hui hai muddat se dil ki basti
a ik naya shiwala is des mein bana den

dunya k tirathon se uncha ho apna tirath
daman-e-asman se is ka kalas mila dein

har subah mil k gayen mantar wo mihe mihe
sare pujariyon ko mai pit ki pila dein

shakti bhi shanti bhi bhakton k git mein hai
dharti k basiyon ki mukti prit mein hai

No comments:

Post a Comment