Shourish-e-Maikhana-e-Insan
Se Baalatar Hai Tu
Zeenat-e-Bazm-e-Falak
Ho Jis Se Woh Saghir Hai Tu
Ho
Dar-e-Gosh-e-Uroos-e-Subah Woh Gohar Hai Tu
Jis Pe Seemaye Ufaq
Nazaan Ho Woh Zaiwar Hai Tu
Safha-e-Ayyam Se
Dagh-e-Madaad-e-Shab Mita
Asman Se
Naqsh-e-Batil Ki Tarah Koukab Mita
Husn Tera Jab Huwa
Baam-e-Falak Se Jalwa-Gar
Ankh Se Urta Hai Yak
Dam Khawab Ki Mai Ka Asar
Noor Se Maamoor Ho
Jata Hai Damaan-e-Nazar
Kholti Hai
Chashm-e-Zahir Ko Zia Teri Magar
Dhoondti Hain Jis Ko
Ankhain Woh Tamasha Chahiye
Chashme-e-Batin Jis
Se Khul Jaye Woh Jalwa Chahiye
Shauq-e-Azadi Ke
Dunya Mein Na Nikle Hosle
Zindagi Bhar Qaid
Zanjeer-e-Taaluq Mein Rahe
Zair-o-Bala Aik Hain
Teri Nigahon Ke Liye
Arzoo Hai Kuch Issi
Chashm-e-Tamasha Ki Mujhe
Ankh Meri Aur Ke Gham
Mein Sar Shak Abad Ho
Imtiaz-e-Millat-o-Aaeen
Se Dil Azad Ho
Basta-e-Rang-e-Khasusiat
Na Ho Meri Zuban
Noo-e-Insan Qoum Ho
Meri, Watan Mera Jahan
Didah-e-Batin Pe
Raaz-e-Nazm-e-Qudrat Ho Ayan
Ho Shanasaye Falak
Shama-e-Takhiyul Ka Duhwan
Uqda-e-Azdad Ki
Kawish Na Tarpaye Mujhe
Husn-e-Ishq Angaiz
Har Shay Mein Nazar Aye Mujhe
Sadma Aa Jaye Hawa Se
Gul Ki Patti Ko Agar
Ashak Ban Kar Meri
Ankhon Se Tapak Jaye Asar
Dil Mein Ho
Souz-e-Mohabbat Ka Woh Chota Sa Sharar
Noor Se Jis Ke Mile
Raaz-e-Haqiqat Ki Khabar
Shahid-e-Qudrat Ka
Aaeena Ho, Dil Mera Na Ho
Sar Mein Juz
Hamdardi-e-Insan Koi Souda Na Ho
Tu Agar
Zehmat-Kash-e-Hangama-e-Alam Nahin
Ye Fazilat Ka Nishan
Ae Naiyyar-e-Azam Nahin
Apne Husn-e-Alam Aara
Se Jot U Mehram Nahin
Humsar-e-Yak
Zarra-e-Khak-e-Dar-e-Adam Nahin
Noor-e-Masjood-e-Malak
Garam Tamasha Hi Raha
Aur Tu Minnat
Pazeer-e-Subah-e-Farda Hi Raha
Arzoo Noor-e-Haqiqat
Ki Humare Dil Mein Hai
Laila-e-Zauq-e-Talab
Ka Ghar Issi Mehmil Mein Hai
Kis Qadar Lazzat
Kushood-e-Aqdah-e-Mushkil Mein Hai
Lutf-e-Sad Hasil Humari Saee-e-Behasil Mein Hai
Dard-e-Istafhaam Se
Waqif Tera Pehlu Nahin
Justujoo-e-Raaz-e-Qudrat
Ka Shanasa To Nahin
No comments:
Post a Comment