Ae Aftab!
Rooh-o-Rawan-e-Jahan Hai Tu
Shiraza
Band-e-Daftar-e-Kaun-o-Makan Hai Tu
Baees Hai Tu
Wujood-o-Adam Ki Namood Ka
Hai Sabz Tere Dam Se
Chaman Hast-o-Bood Ka
Qaeem Ye Unsaron Ka
Tamasha Tujhi Se Hai
Har Shay Mein Zindagi
Ka Taqaza Tujhi Se Hai
Har Shay Ko Teri
Jalwagari Se Sabat Hai
Tera Ye Souz-o-Saaz
Sarapa Hayat Hai
Woh Aftab Jis Se
Zamane Mein Noor Hai
Dil Hai, Khird Hai,
Rooh-e-Rawan Hai, Shaur Hai
Ae Aftab! Hum Ko
Zia-e-Shaur De
Chashm-e-Khird Ko
Apni Tajalli Se Noor De
Hai Mehfil-e-Wujood
Ka Saman Taraz Tu
Yazdan-e-Sakinan-e-Nashaib-o-Faraz
Tu
Tera Kamal
Hasti-e-Har Jandar Mein
Teri Namood
Silsila-e-Kohsar Mein
Har Cheez Ki Hayat Ka
Parwardigar Tu
Zaeedgan-e-Noor Ka
Hai Tajdar Tu
Ne Ibtida Koi Na Koi
Intiha Teri
Azad-e-Qaid-e-Awwal-o-Akhir
Zia Teri
No comments:
Post a Comment