Dunya Ki Mehfilon Se
Ukta Gya Hun Ya Rab!
Kya Lutf Anjuman Ka
Jab Dil Hi Bujh Gya Ho
Sourish Se Bhagta
Hun, Dil Dhoondta Hai Mera
Aesa Sukoot Jis Par
Taqreer Bhi Fida Ho
Merta Hon Khamashi
Par, Ye Arzoo Hai Meri
Daman Mein Koh K Ek
Chota Sa Jhonpara Ho
Azad Fikr Se Hon,
Uzlat Mein Din Guzaron
Dunya Ke Gham Ka Dil
Se Kanta Nikl Gya Ho
Lazzat Surood Ki Ho
Chiryon Ke Chehchon Mein
Chashme Ki Shourishon
Mein Baja Sa Baj Raha Ho
Gul Ki Kali Chatak
Kar Paigham De Kisi Ka
Saghir Zara Sa Goya
Mujh Ko Jahan Numa Ho
Ho Hath Ka Sarhana,
Sabze Ka Ho Bichona
Sharmaye Jis Se
Jalwat, Khalwat Mein Woh Ada Hi
Manoos Iss Qadar
Soorat Se Meri Bulbul
Nanhe Se Dil Mein Uss
Ke Khatka Na Kuch Mera Ho
Sift Bandhe Dono
Janib Boote Hare Hare Hon
Nadi Ka Saaf Pani
Tasveer Le Raha Ho
Ho Dil Faraib Aesa
Kuhsar Ka Nazara
Pani Bhi Mouj Ban
Kar, Uth Uth Ke Dekhta Ho
Aghosh Mein Zameen Ki
Soya Huwa Ho Sabza
Phir Phir Ke Jhariyon
Mein Pani Chamak Raha Ho
Pani Ko Chu Rahi Rahi
Ho Jhuk Jhuk Ke Gul Ki Tehni
Jaise Haseen Koi
Aaeena Dekhta Ho
Mehndi Lage Suraj Jab
Sham Ki Dulhan Ko
Surkhi Liye Sunehri
Har Phool Ki Qaba Ho
Raton Ko Chalne Wale
Reh Jaen Thak Ke Jis Dam
Umeed Un Ki Mera
Toota Huwa Diya Ho
Bijli Chamak Ke Un Ko
Kutiya Meri Dikha De
Jab Asman Pe Har
Soo Badal Ghira Huwa Ho
Pichle Pehr Ki Koeel,
Woh Subah Ki Mouzan
Main Uss Ka Hamnawa
Hun, Woh Meri Humnawa Ho
Kanon Pe Ho Na Mere
Dair-o-Haram Ka Ehsan
Rozan Hi Jhonpari Ka
Mujh Ko Sehr Numa Ho
Phoolon Ko Aye Jis
Dam Shabnam Wazoo Karne
Rona Mera Wazoo Ho,
Nala Meri Dua Ho
Iss Khamashi Mein
Jaen Itne Buland Naale
Taron Ke Qafle Ko
Meri Sada Dra Ho
Har Dardmand Dil Ko
Rona Mera Rula De
Behosh Jo Pare Hain,
Shaid Inhain Jaga De
No comments:
Post a Comment