Ek Charagah Heri
Bheri Thi Kahin
Thi Sarapa Bhar Jis
Ki Zameen
Kya Saman Uss Bahar
Ka Ho Bayan
Her Taraf Saaf
Nadiyan Thin Rawan
Thay Anaron Ke
Be-Shumar Darakht
Aur Peepal Ke Sayadar
Darakht
Thandi Thandi Hawayen
Aati Thin
Taeron Ki Sadaen Aati
Thin
Kisi Nadi Ke Paas Ek
Bakri
Charte Charte Kahin
Se Aa Nikli
Jab Theher Ker Idhar
Udhar Dekha
Paas Ek Gaye Ko Khare
Paya
Pehle Jhuk Ker Ussay
Salam Kiya
Phir Salike Se Yun
Kalam Kiya
Kyun Bari Bi! Mazaj
Kaise Hain
Gaye Boli Ke Khair
Ache Hain
Kat Rahi Hai Buri
Bhali Apni
Hai Musibat Mein
Zindagi Apni
Jaan Par Aa Bani Hai,
Kya Kahiye
Apni Kismat Buri Hai,
Kya Kahiye
Dekhti Hun Khuda Ki
Shaan Ko Mein
Ro Rahi Hun Buron Ke
Jaan Ko Mein
Zor Chalta Nahin
Gareebon Ka
Pesh Aaya Likha
Naseebon Ka
Aadmi Se Koi Bhala Na
Kare
Uss Se Pala Pare,
Khuda Na Kare
Doodh Kam Dun To
Barbarata Hai
Hun Jo Dubli To Bach
Khata Hai
Hathkandon Se Ghulam
Karta Hai
Kin Farebon Se Raam
Karta Hai
Uss Ke Bachon Ko
Palti Hun Mein
Doodh Se Jaan Dalti
Hun Mein
Badle Naiki Ke Ye
Burai Hai
Mere Allah! Teri
Duhayi Hai
Sun Ke Bakri Ye Majra
Sara
Boli, Aesa Gila Nain
Acha
Baat Sachi Hai
Be-Maza Lagti
Mein Kahun Gi Magar
Khuda Lagti.
Ye Charagah, Ye
Thandi Thandi Hawa
Ye Hari Ghaas Aur Ye
Saya
Aesi Khushiyan Humain
Naseeb Kahan
Ye Kahan, Be-Zuban
Gareeb Kahan!
Ye Maze Aadmi Ke Dam
Se Hain
Lutf Sare Ussi Ke Dam
Se Hain
Uss Ke Dam Se Hai
Apni Aabadi
Qaid Hum Ko Bhali Ke
Azadi!
So Tarah Ka Hai Banon
Mein Hai Khatka
Wan Ki Guzaran Se
Bachaye Khuda
Hum Pe Ehsan Hai Bara
Uss Ka
Hum Ko Zaiba Nahin
Gila Uss Ka
Qadar Aaram Ki Ager
Samjho
Aadmi Ka Kabhi Gila
Na Karo
Gaye Sun Ker Ye Baat
Shermayi
Aadmi Ke Gile Se
Pachtai
Dil Mein Perkha Bhala
Bura Uss Ne
Aur Kuch Soch Ker
Kaha Uss Ne
Yun To Chotti Hai
Zaat Bakri Ki
Dil Ko Lagti Hai Baat
Bakri Ki
No comments:
Post a Comment