Ek Din Kisi Makhi Se
Ye Kehne Laga Makra
Iss Rah Se Hota Hai
Guzar Roz Tumhara
Lekin Meri Kutiya Ki
Na Jagi Kabhi Kismat
Bhoole Se Kabhi Tum
Ne Yahan Paun Na Rakha
Ghairon Se Na Miliye
To Koi Baat Nahin Hai
Apno Se Magar Chahiye
Yun Khinch Ke Na Rehna
Aao Jo Mere Ghar Mein
To Izzat Hai Ye Meri
Woh Samne Seerhi Hai
Jo Manzoor Ho Ana
Makhi Ne Suni Baat Jo
Makre Ki To Boli
Hazrat! Kisi Nadan Ko
Dijiye Ga Ye Dhoka
Iss Jaal Mein Makhi
Kabhi Aane Ki Nahin Hai
Jo Aap Ki Seerhi Pe
Charha, Phir Nahin Utra
Makre Ne Kaha Wah!
Farebi Mujhay Samjhe
Tum Sa Koi Nadan
Zamane Mein Na Ho Ga
Manzoor Tumhari Mujhe
Khatir Thi Wagarna
Kuch Faida Apna To
Mera Iss Mein Nahin Tha
Urti Huwi Ayi Ho
Khuda Jane Kahan Se
Thehro Jo Mere Ghar
Mein To Hai Iss Mein Bura Kya!
Iss Ghar Mein Khai
Tum Ko Dikhane Ki Hain Cheezain
Bahir Se Nazar Ata
Hai Chotti Si Ye Kutiya
Latke Huay Darwazon
Pe Bareek Hain Parde
Diwaron Ko Aaeyno Se
Hai Mein Ne Sajaya
Mehmanon Ke Aaram Ko
Hazir Hain Bichone
Her Shaks Ko Saman Ye
Mayaser Nahin Hota
Makhi Ne Kaha Khair,
Ye Sub Theek Hai Lekin
Mein Aap Ke Ghar
Aaun, Ye Umeed Na Rakhna
In Naram Bichonon Se
Khuda Mujh Ko Bachaye
So Jaye Koi In Pe To
Phir Uth Nahin Sakta
Makre Ne Kaha Dil
Mein, Suni Baat Jo Uss Ki
Phansun Issay Kis
Tarha Ye Kambakhat Hai Dana
So Kaam Khushamad Se
Nikalte Hain Jahan Mein
Dekho Jise Duniya
Mein Khushamad Ka Hai Banda
Ye Soch Ke Makhi Se
Kaha Uss Ne Bari Bee !
Allah Ne Bakhsha Hai
Bara Aap Ko Rutba
Hoti Hai Ussay Aap Ki
Soorat Se Mohhabat
Ho Jis Ne Kabi Aik
Nazar Aap Ko Dekha
Aankhain Hain Ke
Heeray Ki Chamakti Huwi Kaniyan
Ser Aap Ka Allah Ne
Kalgi Se Sajaya
Ye Husn, Ye Poshak,
Ye Khubi, Ye Safai
Phir Iss Pe Qayamat
Hai Ye Urte Huay Gana
Makhi Ne Suni Jab Ye
Khushamad To Pasiji
Boli Ke Nahin Aap Se
Mujh Ko Koi Khatka
Inkar Ki Aadat Ko
Samajhti Hun Bura Mein
Sach Ye Hai Ke Dil
Torna Acha Nahin Hota
Ye Baat Kahi Aur Uri
Apni Jagha Se
Paas Ayi To Makre Ne
Uchal Ker Ussay Pakra
Bhooka Tha Kai Roz
Se, Ab Hath Jo Ayi
Aaram Se Ghar Baith
Ke Makhi Ko Uraya
No comments:
Post a Comment