Ameen-e-Raaz Hai
Mardan-e-Hur Ki Darveshi
Ke Jibraeel (A.S.) Se
Hai Iss Ko Nisbat-e-Khoweshi
Kise Khabar Ke
Safinay Dobo Chuki Kitne
Faqeeh-o-Sufi-o-Shayar
Ki Na-Khush Andeshi
Nigah-e-Garam Ke
Sheron Ke Jis Se Hosh Urh Jaen
Na Aah-e-Sard Ke Hai
Gosafandi-o-Maishi
Tabeeb-e-Ishq Ne
Dekha Mujhe To Farmaya
Tera Marz Hai Faqat
Arzoo Ki Be-Naishi
Woh Shay Kuch Aur Hai
Kehte Hain Jaan-e-Paak Jise
Ye Rang-o-Nam, Ye
Lahoo, Aab-o-Naa Ki Hai Baishi
No comments:
Post a Comment