Apni Jolangah
Zair-e-Asman Samjha Tha Mein
Aab-o-Gil Ke Khail Ko
Apna Jahan Samjha Tha Mein
Behijabi Se Teri
Toota Nigahon Ka Tilism
Ek Rida’ay Neelgoon
Ko Asman Samjha Tha Mein
Karwan Thak Kar Faza
Ke Paich-o-Kham Mein Reh Gya
Meher-o-Mah-o-Mushtari
Ko Hum Ana Samjha Tha Mein
Ishq Ki Ek Jast Ne
Tay Kar Diya Qissa Tamam
Iss Zameen-o-Asman Ko
Be-Karan Samjha Tha Mein
Keh Gayen
Raaz-e-Mohabbat Parda-Dari-e-Haye Shauq
Thi Faghan Who Bhi
Jise Zabt-e-Faghan Samjha Tha Mein
Thi Kisi Darmanda
Rehro Ki Sada’ay Dardnaak
Jis Ko
Awaz-e-Raheel-e-Karwan Samjha Tha Mein
No comments:
Post a Comment