Thursday 7 August 2014

Aqal Go Aastan Se Door Nahin

Aqal Go Astan Se Door Nahin
Iss Ki Taqdeer Mein Huzoor Nahin

Dil-E-Beena Bhi Kar Khuda Se Talab
Ankh Ka Noor Dil Ka Noor Nahin

Ilm Mein Bhi Suroor Hai Lekin
Ye Woh Jannat Hai Jis Mein Hoor Nahin

Kya Ghazab Hai Kh Iss Zamane Mein
Aik Bhi Sahib-E-Suroor Nahin

Ek Junoon Hai K Ba-Shaur Bhi Hai
Ek Junoon Hai K Ba-Shaur Nahin

Na-Saboori  Hai Zindagi Dil Ki
Aah Woh Dil K Na-Saboor Nahin

Be-Huzoori Hai Teri Mout Ka Raaz
Zinda Ho Tu To Be-Huzoor Nahin

Har Guhar Ne Sadaf Ko Tor Diya
Tu Hi Amada’ay Zahoor Nahin

‘ARINI’ Mein  Bhi Keh Raha Hon, Magar
Ye Hadees-E-Kaleem (A.S)-O-Toor Nahin

No comments:

Post a Comment