Tuesday 12 August 2014

Bacha Aur Shama

Kaisi Hairani Hai Ye Ae Tiflak-e-Parwana Khu!
Shama Ke Shaolon Ko Ghariyon Dekhta Rehta Hai Tu


Ye Meri Aghosh Mein Baithe Huwe Junbish Hai Kya
Roshni Se Kya Baghal Geeri Hai Tera Mudda?


Iss Nazare Se Tera Nanha Sa Dil Heeran Hai
Ye Kisi Dekhi Huwi Shay Ki Magar Pehchan Hai


Shama Ek Shaola Hai Lekin Tu Sarapa Noor Hai
Ah! Iss Mehfil Mein Ye Uryan Hai Tu Mastoor Hai


Dast-e-Qudrat Ne Isse Kya Jane Kyun Uryan Kiya!
Tujh Ko Khak-e-Teera Ke Fanoos Mein Pinhan Kiya


Noor Tera Chup Gya Zair-e-Naqab-e-Aaghi
Hai Ghubar-e-Didah-e-Beena Hijab-e-Aaghi


Zindagaani Jis Ko Kehte Hain Faramoshi Hai Ye
Khawab Hai, Ghaflat Hai, Sar Masti Hai, Behoshi Hai Ye


Mehfil-e-Qudrat Hai Ek Darye Be-Payan-e-Husn
Ankh Agar Dekhe To Har Qatre Mein Hai Toofan-e-Husn


Husn, Kohistan Ki Haibatnaak Khamoshi  Mein Hai
Mehr Ki Zou Gastri, Shab Ji Siyah Poshi Mein Hai


Asman-e-Subah Ki Aaeena Poshi Mein Hai Ye
Sham Ki Zulmat, Shafaq Ki Gul Faroshi Mein Hai Ye


Azmat-e-Dairina Ke Mitte Huwe Asaar Mein
Tiflak-e-Na Ashna Ki Koshish-e-Guftar Mein


Sakinan-e-Sehan-e-Gulshan Ki Hum Awazi Mein Hai
Nanhe Nanhe Taeeron Ki Ashiyan Saazi Mein Hai


Chashma-e-Kuhsar Mein, Darya Ki Azadi Mein Husn
Shehr Mein, Sehra Mein, Weerane Mein, Abadi Mein Husn


Rooh Ko Lekin Kisi Gum Gashta Shay Ki Hai Hawas
Warna Iss Sehra Mein Kyun Nalan Hai Ye Misl-e-Jaras!


Husn Ke Iss Aam Jalwe Mein Bhiye Betaab Hai
Zindagi Iss Ki Misal-e-Maahi-e-Be Aab Hai

No comments:

Post a Comment