Tuesday 12 August 2014

Kinar-e-Ravi

Sukoot-e-Shaam Mein Mehv-e-Surood Hai Ravi
Na Puch Mujh Se Jo Kaifiat Mere Dil Ki


Payam Sajde Ka Ye Zair-o-Bam Huwa Kujh Ko
Jahan Tamam Sawad-e-Haram Huwa Mujh Ko


Sir-e-Kinara-e-Aab-e-Rawan Khara Hun Main
Khabar Nahin Mujhe Lekin Kahan Khara Hun Main


Sharab-e-Surkh Se Rangeen Huwa Hai Daman-e-Shaam
Liye Hai Peer-e-Falak Dast-e-Raishadar Mein Jaam


Adam Ko Qafila-e-Roz Taizgaam Chala
Shafaq Nahin Hai, Ye Suraj Ke Phool Hain Goya


Khare Hain Door Woh Azmat Fazaye Tanhai
Manar-e-Khawabgah-e-Shahsawar-e-Chughtai


Fasana-e-Sitam-e-Inqilab Hai Ye Mehal
Koi Zaman-e-Salaf Ki Kitab Hai Ye Mehal


Maqam Kya Hai, Surood-e-Khamosh Hai Goya
Shajar,Ye Anjuman-e-Be-Kharosh Hai Goya


Rawan Hai Seena-e-Darya Pe Ek Safina-e-Taiz
Huwa Hai Mouj Se Mallah Jis Ka Garm-e-Sataiz


Subak Rawi Mein Hai Misl-e-Nigah Ye Kashti
Nikal Ke Halqa-e-Hadd-e-Nazar Se Door Gyi


Jahaz-e-Zindagi-e-Admi Rawan Hai Yunhi
Abad Ke Behar Mein Paida Yunhi, Nihan Hai Yunhi


Shikast Se Ye Kabhi Ashna Nahin Hota
Nazar Se Chupta Hai Lekin Fana Nahin Hota

No comments:

Post a Comment