Tuesday 12 August 2014

Iltijaye Musafir

Farishte Parhte Hain Jis Ko Woh Naam Hai Tera
Bari Janab Teri, Faiz Aam Hai Tera


Sitare Ishq Ke Teri Kashish Se Hain Qaeem
Nizam-e-Mehr Ki Soorat Hai Tera


Teri Lehad Ki Ziarat Hai Zindagi Dil Ki
Maseeh-o-Khizar Se Uncha Maqam Hai Tera


Nihan Hai Teri Mohabbat Mein Rang-e-Mehboobi
Bari Hai Shaan, Ehtaraam Hai Tera


Agar Siyah Dalam, Dagh-e-Lala Zaar-e-Touwaam
Wagar Kushadah Jabeeneam, Gul-e-Bahar-e-Tawaam


Chaman Ko Chor Ke Nikla Hun Misl-e-Nukhat-e-Gul
Huwa Hai Sabr Ka Manzoor Imtihaan Mujh Ko


Chali Hai Le Ke Watan Ke Nigar Khane Se
Sharaab-e-Ilm Ki Lazzat Kushan Kushan Mujh Ko


 Nazar Hai Abar-e-Karam Par, Darkht-e-Sehra Hun
Kiya Khuda Ne Mohtaj-e-Baghban Mujh Ko


Falak Nasheen Sift-e-Mehr Hun Zamane Mein
Teri Dua Se Atta Ho Woh Nardbaan Mujh Ko


Maqam Hum Safron Se Ho Iss Qadar Agay
Ke Samajhe Manzil-e-Maqsood Karwaan Mujh Ko


Meri Zuban Se Kisi Ka Dil Na Dukhe
Kisi Se Shikwah Na Ho Zair-e-Asman Mujh Ko


Dilon Ko Chaak Kare Misl-e-Shana Jis Ka Asar
Teri Janab Se Aesi Mile Afghan Mujh Ko


Banaya Tha Jise Chun Chun Ke Khar-o-Khs Main Ne
Chaman Mein Phir Nazar Aye Woh Asiyan Mujh Ko


Phir Aa Rakhun Qadam-e-Madar-o-Pidar Pe Jabeen
Kiya Jinhon Ne Mohabbat Ka Raazdaan Mujh Ko


Woh Shama-e-Bargah-e-Khandan-e-Murtazvi
Rahe Ga Misl-e-Haram Jis Ka Astan Mujh Ko


Nafas Se Jis Ke Khuli Meri Arzoo Ki Kali
Banaya Jis Ki Marawwat Ne Nuktadan Mujh Ko


Dua Ye Kar Ke Khudawand-e-Asman-o-Zameen
Kare Phir Iss Ki Ziarat Se Shadman Mujh Ko


Woh Mera Yousaf-e-Sani, Woh Shama-e-Mehfil-e-Ishq
Huwi Hai Jis Ki Akhuwat Qarar-e-Jaan Mujh Ko


Jala Ke Jis Ki Mohabbat Ne Daftar-e-Man-o-Tu
Hawaye Aysh Mein Pala, Kiya Jawan Mujh Ko


Riyaz-e-Dehr Mein Manind-e-Gul Rahe Khandan
Ke Hai Aziz Tar Az Jaan Woh Jaan-e-Jaan Mujh Ko


Shugufta Ho Ke Kali Dil Ki Phool Ho Jaye!
Ye Iltijaye Musafir Qabool Ho Jaye!

No comments:

Post a Comment