Friday, 8 August 2014

Insan Aur Bazm-e-Qudrat

Subah Khursheed-e-Durakhsan Ko Jo Dekha Main Ne
Bazm-e-Maamoora-e-Hasti Se Ye Pucha Main Ne

Par Tu-e-Mehr Ke Dam Se Hai Ujala Tera
Seem-e-Sayyal Hai Pani Tere Daryaon Ka

Mehr Ne Noor Ka Ziawar Tujhe Pehnaya Hai
Teri Mehfil Ko Issi Shama Ne Chamkaya Hai

Gul-o-Gulzar Tere Khuld Ki Tasveerain Hain
Ye Sabhi Surah-e-‘Wa Shamas’ Ki Tafseerain Hain

Surkh Poshak Hai Phoolon Ki, Darakht Ki Hari
Teri Mehfil Mein Koi Sabz, Koi Laal Pari

Hai Tere Khaima-e-Gardoon Ki Talayi Jhalar
Badliyan Laal Si Ati Hain Ufaq Par Jo Nazar

Kya Bhali Lagti Hai Ankhon Ki Shafaq Ki Laali
Mai-e-Gulrang Khum-e-Shaam Mein Tu Ne Dali

Rutba Tera Hai Bara, Shan Bari Hai Teri
Parda-e-Noor Mein Mastoor Hai Har Shay Teri

Subah Ek Geet Sarapa Hai Teri Sitwat Ka
Zair-e-Khursheed Nishan Tak Bhi Nahin Zulmat Ka

Main Bhi Abad Hun Iss Noor Ki Basti Mein Magar
Jal Gya Phir Meri Taqdeer Ka Akhtar Khunkar?

Noor Se Door Hun Zulmat Mein Griftar Hun Main
Kyun Siyah-e-Roz, Sayah Bakht, Siyah Kar Hun Main?

Main Ye Kehta Tha Ke Awaz Kahin Se Ayi
Baam-e-Gardoon Se Ya Sehan-e-Zameen Se Ayi

Hai Tere Noor Se Wabasta Meri Bood-o-Nabood
Baghban Hai Teri Hasti Bay-e-Gulzar-e-Wujood

Anjuman Husn Ki Hai Tu, Teri Tasveer Hun Main
Ishq Ka Tu Hai Sahifa, Teri Tafseer Hun Main

Mere Bighre Huwe Kamon Ko Banaya Tu Ne
Baar Jo Mujh Se Na Utha Woh Uthaya Tu Ne

Noor-e-Khursheed Ki Mohtaj Hai Hasti Meri
Aur Be Minnat-e-Khursheed Chamak Hai Teri

Ho Na Khursheed To Weeran Ho Gulistan Mera
Manzil-e-Aysh Ki Ja Naam Ho Zindan Mera

Ah! Ae Raaz-e-Ayan Ke Na Samajh Wale!
Halqa-e-Daam-e-Tammana Mein Ulajh Wale

Haye Ghafla Ke Teri Ankh Hai Paband-e-Majaz
Naaz Zaiba Tha Tujhe, Tu Hai Magar Garm-e-Niaz

Tu Agar Apni Haqiqat Se Khabardar Rahe
Na Siyah Roz Rahe Phir Na Siyahkaar Rahe

No comments:

Post a Comment