Friday, 8 August 2014

Ishq-o-Mout

Suhani Namood-e-Jahan Ki Ghari Thi
Tabassum Fishan Zindagi Ki Kali Thi

Kahin Mehr Ko Taj-e-Zar Mil Raha Tha
Atta Chand Ko Chandani Ho Rahi Thi

Siyah-e-Pairhan Sham Ko De Rahe The
Sitaron Ko Taleem-e-Tabindagi Thi

Kahin Shakh-e-Hasti Ko Lagte The Patte
Kahin Zindagi Ki Kali Phootti Thi

Farishte Sikhate The Shabnam Ko Rona
Hansi Gul Ko Pehle Pehal Aa Rahi Thi

Atta Dard Hota Tha Shayar Ke Dil Ko
Khudi Tashna Kaam-e-Mai-e-Bekhudi Thi

Uthi Awwal Awwal Ghata Kali Kali
Koi Hoor Choti Ko Khole Khari Thi

Zameen Ko Tha Dawa Ke Main Asman Hun
Makan Keh Raha Tha Ke Main La-Makan Hun

Gharz Iss Qadar Ye Nazara Tha Pyara
Ke Nazaragi Ho Sarapa Nazara

Malak Azmate The Parwaz Apni
Jabeenon Se Noor-e-Azal Ashakara

Farishta Tha Ek, Ishq Tha Naam Jis Ka
Ke Thi Rahbari Uss Ki Sub Ka Sahara

Farishta Ke Putla Tha Be Tabiyon Ka
Malak Ka Malak Aur Pare Ka Para

Pay-e-Sair Fardous Ko Ja Raha Tha
Qaza Se Mila Rah Mein Woh Qaza Ra

Ye Pucha Tera Naam Kya, Kaam Kya Hai
Nahin Ankh Ko Deed Teri Gawara

Huwa Sun Ke Goya Qaza Ka Farishta
Ajal Hun, Mera Kaam Hai Ashkara

Urati Hun, Main Rakht-e-Hasti Ke Purze
Bujhati Hun Main Zindagi Ka Sharara.

Meri Ankh Mein Jadoo-e-Neesti Hai
Paya-e-Fana Hai Issi Ka Ishara

Magar Aik Hasti Hai Dunya Mein Aesi
Woh Atish Hai Main Samne Uss Ke Para

Sharar Ban Ke Rehti Hai Insan Ke Dil Mein
Woh Hai Noor-e-Mutliq Ki Ankhon Ka Tara

Tapakti Hai Ankhon Se Ban Ban Ke Ansu
Woh Ansu Ke  Ho Jin Ki Talkhi Gawara

Suni Ishq Ne Guftugoo Jab Qaza Ki
Hansi Uss Ke Lab Par Huwi Ashkara

Giri Uss Tabassum Ki Bijli Ajal Par
Andhere Ka Ho Noor Mein Kya Guzara

Baqa Ko Jo Dekha Fana Ho Gyi Woh
Qaza Thi, Shakar-e-Qaza Ho Gyi Woh

No comments:

Post a Comment