Friday 8 August 2014

Jibreel-o-Iblees

Jibreel:-

Humdam Dairina! Kaisa Hai Jahan-e-Rang-o-Boo?

Iblees:-

Souz-o-Saaz-o-Dard-o-Dagh-o-Justujooye-o-Arzoo

Jibreel:-

Har Ghari Aflak Par Rehti Hai Teri Guftugu
Kya Nahin Mumkin Ke Tera Chaak-e-Daman Ho Rafoo

Iblees:-

Aah Ae Jibreel! Tu Waqif Nahin Iss Raaz Se
Kar Gya Sarmast Mujh Ko Toot Kar Mera Saboo

Ab Yahan Meri Guzar Mumkin Nahin, Mumkin Nahin
Kis Qadar Khamosh Hai Ye Alam-e-Be-Kaakh-o-Koo!

Jis Ki Naumeedi Se Ho Souz-e-Daroon-e-Kainat
Uss Ke Haq Mein ‘Taqnatu’ Acha Hai Ya ‘La-Taqnatu’ ?

Jibreel:-

Kho Diye Inkaar Se Tu Ne Maqamat-e-Buland
Chashm-e-Yazdaan Mein Farishton Ki Rahi Kya Abroo!

Iblees:-

Hai Meri Jurraat Se Musht-e-Khak Mein Zauq-e-Namoo
Mere Fitne Jama-e-Aqal-o-Khirad Ka Taar-o-Poo

Dekhta Hai Tu Faqat Sahil Se Razm-e-Khair-o-Shar
Kon Toofan Ke Tamanche Kha Raha Hai, Main Ke Tu?

Khizar Bhi Bedast-o-Pa, Ilyas Bhi Bedast-o-Pa
Mere Toofan Tam-Ba-Yam, Darya-Ba-Darya, Joo-Ba-Joo

Gar Khalwat Mayassir Ho To Puch Allah Se
Qissa-e-Adam Ko Rangeen Kar Gya Kis Ka Lahoo!

Main Khatakta Hun Dil-e-Yazdan Mein Kante Ki Tarah
Tu Faqat Allah Hoo, Allah Hoo, Allah Hoo !

No comments:

Post a Comment