Jugnoo Ki Roshni Hai
Kashana-e-Chaman Mein
Ya Shama Jal Rahi Hai
Phoolon Ki Anjuman Mein
Aya Hai Asman Se Urh
Kar Koi Sitara
Ya Jaan Parh Gyi Hai
Mehtaab Ki Kiran Mein
Ya Shab Ki Saltanat
Mein Din Ka Safeer Aya
Gharbat Mein Aa Ke
Chamka, Ghumnaam Tha Watan Mein
Tukma Koi Gira Hai
Mehtab Ki Qaba Ka
Zarra Hai Ya Numayan
Suraj Ke Pairhan Mein
Husn-e-Qadeem Ki Ye
Poshida Ek Jhalak Thi
Le Ayi Jis Ko Qudrat
Khalwat Se Anjuman
Chote Se Chand Mein
Hai Zulmat Bhi Roshni Bhi
Nikla Kabhi Gehn Se,
Aya Kabhi Gehn Mein
Parwana Ek Patanga,
Jugnoo Bhi Ek Patanga
Woh Roshni Ka Talib,
Ye Roshni Sarapa
Har Cheez Ko Jahan
Mein Qudrat Ne Dilbari Di
Parwane Ko Tapish Di,
Jugnoo Ko Roshani Di
Rangeen Nawa Banaya
Murghan-e-Bezuban Ko
Gul Ko Zuban De Kar
Taleem-e-Khamashi Di
Nazara-e-Shafaq Ki
Khoobi Zawal Mein Thi
Chamka Ke Iss Pari Ko
Thori Si Zindagi Di
Rangeen Kiya Sehar Ko
Banki Dulhan Ki Soorat
Pehna Ke Laal Jorha
Shabnam Ki Aar Si Di
Saya Diya Shajar Ko,
Parwaz Di Hawa Ko
Pani Ko Di Rawani,
Moujon Ko Be-Kali Di
Ye Imtiaz Lekin Ek
Baat Hai Humari
Jugnoo Ka Din Wohi
Hai Jo Raat Hai Humari
Husn-e-Azal Ki Paida
Har Cheez Mein Jhalak Hai
Insan Mein Woh Sukhan
Hai, Ghunche Mein Woh Chatak Hai
Ye Chand Asman Ka
Shayar Ka Dil Hai Goya
Waan Chandani Hai Jo
Kuch, Yaan Dard Kasak Hai
Andaz-e-Guftugoo Ne
Dhoke Diye Hain Warna
Naghma Hai
Bu-e-Bulbul, Boo Phool Ki Chehak Hai
Kasrat Mein Ho Gya
Hai Wahdat Ka Raaz Makhfi
Jugnoo Mein Jo Chamak
Hai, Woh Phool Mein Mehak Hai
Ye Ikhtilaf Phir Kyun
Hangamon Ka Mehal Ho
Har Shay Mein Jabke
Pinhan Khamoshi-e-Azal Ho
No comments:
Post a Comment