Kamal-E-Tark Nahin
Aab-O-Gil Se Mehjoori
Kamal-E-Tark Hai
Taskheer-E-Khaki-O-Noori
Main Aese Faqr Se Ae
Ahl-E-Halqa Baaz Aya
Tumhara Faqr Hai
Be-Doulati-O-Ranjoori
Na Faqr Ke Liye
Mouzun, Na Saltanat Ke Liye
Who Qoum Jis Ne
Ganwaya Mataa-E-Taimoori
Sune Na
Saqi-E-Mehwash To Aur Bhi Acha
Ayar-E-Garmi-E-Sohbat
Hai Harf-E-Maazoori
Hakeem-O-Arif-O-Sufi,
Tamam Mast-E-Zahoor
Kise Khabar K Tajalli
Hai Ayn Mastoori
oh Multafat Hon To
Kunj Qafs Bhi Azadi
Na Hon To
Sehat-E-Chaman Bhi Maqam-E-Majboori
Bura Na Maan, Zara
Azma Ke Dekh Isse
Farang Dil Ki
Kharabi, Khirad Ki Maamoori
No comments:
Post a Comment