Khird-Mandon Se Kya
Puchon Ke Meri Ibtida Kya Hai
Ke Main Iss Fikar
Mein Rehta Hun, Meri Intiha Kya Hai
Khudi Ko Kar Buland
Itna Ke Har Taqdeer Se Pehle
Khuda Bande Se Khud
Puche, Bata Teri Raza Kya Hai
Maqam-e-Guftugu Kya
Hai Agar Main Keemiya-Gar Hun
Yehi Souz-e-Nafas
Hai, Aur Meri Keemiya Kya Hai!
Nazar Ayeen Mujhe
Taqdeer Ki Gehraiyan Uss Mein
Na Puch Ae
Hum-Nasheen Mujh Se Woh Chashm-e-Surma Sa Kya Hai
Agar Hota Woh
Majzoob*-e-Farangi Iss Zamane Mein
To Iqbal Uss Ko
Samjhata Maqam-e-Kibriya Kya Hai
Nawa-e-Subahgahi Ne
Jigar Khoon Kar Diya Mera
Khudaya Jis Khata Ki
Ye Saza Hai, Woh Khata Kya Hai!
Germani Ka Mashoor
Majzoob Falsafi Natsha Jo Apne Qalbi Wardaat Ka Sahih Andaza Na Kar Saka Aur
Issliye Iss Ke Falsafiyana Afkar Ne Isse Gallat Raste Par Dal Diya.
No comments:
Post a Comment