Khud apne liye baith k sochenge kisi din
yun hai k tujhe bhul k dekhenge kisi din
bhatake hue phirte hain kai lafz jo dil main
duniya ne diya vaqt to likkhenge kisi din
hil jayenge ik bar to arshon k dar-o-bam
ye khaknashin log jo bolenge kisi din
apas ki kisi bat ka milta hi nahi vaqt
har bat ye kahae hain k baithenge kisi din
ai jan teri yad k be-nam parinde
shakhon pe mere dard ki utrenge kisi din
jati hai kisi jhil ki gahrai kahan tak
ankhon main teri dub k dekhenge kisi din
khushbu se bhari sham main jugnu k qalam se
ik nazm tere vaste likkhenge kisi din
soyenge teri ankh ki khlvat main kisi rat
saye main teri zulf k jagenge kisi din
khushbu ki tarah ,asl-e-saba khak numa se
galiyon se tere shahar ki guzrenge kisi din
'Amjad' hai yahi ab k kafan bandh k sar se
us shahar-e-sitamgar main jayenge kisi din
No comments:
Post a Comment