Saturday, 9 August 2014

Kisi Ki Ankh Jo Purnam Nahi Hai

kisi ki ankh jo purnam nahi hai
na samajho ye ke us ko Gam nahi hai

savad-e-dard main tanha khara hun
palat jaun magar mausam nahi hai

samajh main kuch nahi ata kisi k
agarche guftagu mubham nahi hai

sulagta kyun nahi tarik jangal
talab ki lau agar maddham nahi hai

ye basti hai sitam parvar digan ki
yaha koi kisi se kam nahi hai

kinara dusara dariya ka jaise
vo sathi hai magar mahram nahi hai

dilon ki raushani bujhne na dena
vajud-e-tiragi mahkam nahi hai

main tum ko chah kar pachta raha hun
koi is zaKhm ka marham nahi hai

jo koi sun sake 'Amjad' to suna dena
ba-juz ek baz gasht-e-Gam nahi hai

No comments:

Post a Comment