Friday 8 August 2014

Khudi Ho Ilm Se Mohkam To Ghairat-e-Jibreel

Khudi Ho Ilm Se Muhkam To Ghairat-e-Jibreel
Agar Ho Ishq Se Muhkam To Soor-e-Israfeel

Azab-e-Danish-e-Hazir Se Ba-Khabar Hun Mein
Ke Main Iss Aag Mein Dala Gya Hun Misl-e-Khalil (A.S.)

Faraib Khurdah-e-Manzil Hai Karwan Warna
Zaida Rahat-e-Manzil  Se Hai Nishat-e-Raheel

Nazar Nahin To Mere Halqa-e-Sukhan Mein Na Baith
Ke Nukta Haye Khudi Hain Misaal-e-Taeg-e-Aseel

Mujhe Woh Dars-e-Farang Aaj Yad Ate Hain
Kahan Huzoor Ki Lazzat, Kahan Hijab-e-Daleel !

Andheri Shab Hai, Juda Apne Qafle Se Hai Tu
Tere Liye Hai Mera Shaola-e-Nawa, Qandeel

Ghareeb-o-Sada-o-Rangeen Hai Dastan-e-Haram
Nahayat Iss Ki Hussain (R.A.), Ibtada Hai Ismaeel (A.S.)

No comments:

Post a Comment