Silsalah-E-Roz-O-Shab,
Naqsh Gar-E-Hadsaat
Silsalah-E-Roz-O-Shab,
Asal-E-Hayat-O-Mamaat
Silsalah-E-Roz-O-Shab,
Taar-E-Hareer-E-Do Rang
Jis Se Banati Hai
Zaat Apni Qaba’ay Sifat
Silsalah-E-Roz-O-Shab,
Saaz-E-Azal Ki Faghan
Jis Se Dikhati Hai
Zaat Zair-O-Bam-E-Mumkinaat
Tujh Ko Parakhta Hai
Ye, Mujh Ko Parakhta Hai Ye
Silsalah-E-Roz-O-Shab,
Sayr Fee Kainat
Tu Ho Agar Kam Ayaar,
Main Hun Agar Kam Ayaar
Mout Hai Teri Baraat,
Mout Hai Meri Baraat
Tere Shab-O-Roz Ki
Aur Haqiqat Hai Kya
Aik Zamane Ki Ro Jis
Mein Na Din Hai Na Raat
Aani –O-Fani Tamam
Mojazaat Haye Gunar
Kaar-E-Jahan
Be-Sabaat, Kaar-E-Jahan Be-Sabaat!
Awwal-O-Akhir Fana,
Batin-O-Zahir Fana
Naqsh-E-Kuhan Ho Ke
Nau, Manzil-E-Akhir Fana
Hai Magar Iss Naqsh
Mein Rang-E-Sabaat-E-Dawam
Jis Ko Kiya Ho Kisi
Mard-E-Khuda Ne Tamam
Mard-E-Khuda Ka Amal
Ishq Se Sahib Firogh
Ishq Hai
Asal-E-Hayat, Mout Hai Iss Par Haraam
Tund-O-Subak Sair Hai
Gharcha Zamane Ki Ro
Ishq Khud Ek Sayl
Hai, Sayl Ko Leta Hai Thaam
Ishq Ki Taqweem Mein
Asar-E-Rawan Ke Sawa
Aur Zamane Bhi Hain
Jin Ka Nahin Koi Naam
Ishq Dam-E-Jibreel,
Ishq Dam-E-Mustafa (S.A.W.).
Ishq Khuda Ka Rasool,
Ishq Khuda Ka Kalaam
Ishq Ki Masti Se Hai
Paikar-E-Gil Taabnaak
Ishq Hai Sehba’ay Khaam, Ishq Hai Kaas-Ul-Kiraam
Ishq Faqeeh-E-Haram,
Ishq Ameer Junood
Ishq Hai
Ibn-Ul-Sabeel, Iss Ke Hazaron Maqam
Ishq Ke Mizraab Se
Naghma’ay Taar-E-Hayat
Ishq Se Noor-E-Hayat,
Ishq Se Naar-E-Hayat
Ae Haram-E-Qurtuba!
Ishq Se Tera Wujood
Ishq Sarapa Dawam,
Jis Mein Nahin Raft-o-Bood
Rang Ho Ya
Khisht-o-Sang, Chang Ho Ya Harf-o-Soot
Moajaza-E-Fan Ki Hai
Khoon-E-Jigar Se Namood
Katra-E-Khoon-E-Jigar
Sil Ko Banata Hai Dil
Khoon-E-Jigar Se Sada
Souz-o-Suroor-o-Surood
Teri Fiza Dil Faroz ,
Meri Nawa Sina Soz
Tujh Se Dilon Ka
Huzoor, Mujh Se Dilon Ki Kushood
Arsh-E-Muala Se Kam
Sina’ay Adam Nahin
Garche Kaf-Ekhak Ki
Had Hai Sipihr-E-Kubood
Pekar-E-Noori Ko Hai
Sajda Meyasir To Kya
Iss Ko Meyasir Nahin
Soz-O-Gudaaz-E-Sujood
Kafir-E-Hindi Hun
Main, Dekh Mera Zauq-O-Shauq
Dil Mein
Salat-O-Durood, Lab Pe Salat-O-Durood
Shauq Meri Le Main
Hai, Shauq Meri Ne Mein Hai
Naghma’ay ‘ALLAH HOO’
Mere Rag-E-Pe Mein Hai
Tera Jalal-O-Jamal,
Mard-E-Khuda Ki Daleel
Woh Bhi
Jaleel-O-Jameel, Tu Bhi Jaleel-O-Jameel
Teri Bina Paidar,
Tere Sutoon Be-Shumar
Sham Ke Sehra Mein Ho
Jaise Hujoom-E-Nakheel
Tere Dar-O-Baam Par
Wadi-E-Ayman Ka Noor
Tera Minaar-E-Buland
Jalwagah-E-Jibreel
Mit Nahin Sakta Kabhi
Mard-E-Musalman Ke Hai
Iss Ki Azanon Se Fash
Sir-E-Kaleem(A.S.)-O-Khalil(A.S.)
Iss Ki Zameen
Behadood, Is Ka Ufaq Be Sooghoor
Iss Ke Samundar Ki
Mouj, Dajla-O-Danyob-O-Neel
Iss Ke Zamane Ajeeb,
Iss Ke Fasane Ghareeb
Ehad-E-Kuhan Ko Diya
Iss Ne Payam-E-Raheel
Saqi Arbab-E-Zauq,
Faris-E-Maidan-E-Shauq
Badah Hai Iss Ka
Raheeq, Taeg Hai Iss Ki Aseel
Mard-E-Sipahi Hai
Woh, Iski Zirah ‘LA ILAHA’
Saya-E-Shamsheer Mein
Is Ski Panah ‘LA ILAHA’
Tujh Se Huwa Ashkara
Banda-E-Momin Ka Raaz
Iss Ke Dino Ki
Tapish, Is Ke Shabon Ka Gudaaz
Iss Ka Maqam Buland,
Iss Ka Khayal Azeem
Iss Ka Suroor Iss Ka
Shauq, Iss Ka Niaz Iss Ka Naaz
Hath Hai ALLAH Ka
Banda-E-Momin Ka Hath
Ghalib-O-Kaar Afreen,
Kaar Kusha, Kaar Saaz
Khaki-O-Noori Nihad,
Banda-E-Mola Sifat
Har Do Jahan Se Ghani
Iss Ka Dil-E-Beniaz
Uss Ki Umeedain Qaleel,
Uss Ke Maqasid Jaleel
Uss Ki Ada Dil
Faraib, Iss Ki Nigah Dil Nawaz
Naram Dam-E-Guftugoo,
Garam Dam-E-Justujoo
Razm Ho Ya Bazm Ho,
Pak Dil-O-Pak Baz
Nukta’ay
Parkar-E-Haq, Mard-E-Khuda Ka Yaqeen
Aur Ye Alam Tamam
Weham-O-Tilism-O-Majaz
Aqal Ki Manzil Hai
Woh, Ishq Ka Hasil Hai Woh
Halqa’ay Afaq Mein
Garmi-E-Mehfil Hai Woh
Kaaba Arbab-E-Fan!
Sitwat-E-Deen-E-Mubeen
Tujh Se Haram
Martabat Andlusiyon Ki Zameen
Hai Teh-E-Gardoon
Agar Husn Mein Teri Nazeer
Qalb-E-Musalman Mein
Hai, Aur Nahin Hai Kahin
Aah Woh Mardan-E-Haq!
Woh Arabi Shehsawar
Hamil-E-Khulq-E-Azeem,
Sahib-E-Sidq-O-Yaqeen
Jin Ki Hukumat Se Hai
Fash Ye Ramz-E-Ghareeb
Saltanat Ahl-E-Dil
Faqar Hai, Shahi Nahin
Jin Ki Nigahon Ne Ki
Tarbiat-E-Sharq-O-Gharb
Zulmat-E-Yorap Mein
Thi Jin Khird Rah Been
Jin Ke Lahoo Ki
Tafail Aaj Bhi Hain Andlasi
Khush Dil-O-Garam
Ikhtalaat, Sada-O-Roshan Jabeen
Aaj Bhi Iss Dais Mein
Aam Hai Chasm-E-Ghazaal
Aur Nigahon Ke Teer
Aaj Bhi Hain Dil Nasheen
Boo’ay Yaman Aaj Bhi
Is Ski Hawaon Mein Hai
Rang-E-Hijaz Aaj Bhi
Iss Ki Nawaon Mein Hai
Didah-E-Anjum Mein
Hai Teri Zameen, Asman
Aah Ke Sadiyon Se Hai
Teri Faza Be-Azan
Kon Se Wadi Mein Hai,
Kon Si Manzil Mein Hai
Ishq-E-Bala Khaiz Ka
Kafla’ay Sakht Jaan!
Dekh Chuka Almani,
Shorish-E-Islah-E-Deen
Jis Ne Na Chore Kahin
Naqsh-E-Kuhan Ke Nishan
Harf-E-Galat Ban Gyi
Ismat-E-Peer-E-Kunisht
Aur Huwi Fikar Ki Kashti-E-Nazuk Rawan
Chashme-E-Francis Bhi
Dekh Chuki Inqilab
Jis Se Digargoon Huwa
Magribiyon Ka Jahan
Millat-E-Roomi Nazad
Kuhna Prasti Se Peer
Lazzat-E-Tajdeed Se
Woh Bhi Huwi Phir Jawan
Rooh-E-Musalman Mein
Hai Aaj Wohi Iztarab
Raaz-E-Khudai Hai Ye,
Keh Nahin Sakti Zuban
Dekhiye Iss Behar Ki
Teh Se Uchalta Hai Kya
Gunbad-E-Nilofari
Rang Badalta Hai Kya!
Wadi-E-Kuhsaar Mein
Garaq-E-Shafaq Hai Sahab
La’al-E-Badkhashan Ke
Dhair Chor Gya Aftab
Sada-O-Pursoz Hai
Dukhtar-E-Dehqan Ka Geet
Kashti-E-Dil Ke Liye
Sayl Hai Ehad-E-Shabab
Aab-E-Rawan-E-Kabeer
! Tere Kinare Koi
Dekh Raha Hai Kisi
Aur Zamane Ka Khawab
Alam-E-Nau Hai Abhi
Parda’ay Taqdeer Mein
Meri Nigahon Mein Hai
Iss Ki Sehar Behijab
Parda Utha Doon Agar
Chehra’ay Afkar Se
La Na Sake Ga Farang
Meri Nawa’on Ki Taab
Jis Mein Na Ho
Inqilab, Mout Hai Woh Zindagi
Rooh-E-Ummam Ki Hayat
Kashmakash-E-Inqilab
Soorat-E-Shamsheer
Hai Dast-E-Qaza Mein Woh Qaum
Karti Hai Jo Har
Zaman Apne Amal Ka Hisaab
Naqsh Hain Sub
Na-Tamam Khoon-E-Jigar Ke Begair
Naghma Hai Soda’ay
Kham Khoon-E-Jigar Ke Begair
Wada-Al-Kabeer,
Qurtuba Ka Mashoor Darya
Jis Ke Qareeb Hi
Masjid-E-Qurtaba Waqiya Hai
No comments:
Post a Comment