Mujh se kaafir ko tere ishq ne yun sharmaya,
Dil tujhe dekh ke dharrka to khudaa yaad aaya,

Mere dil pe to hai ab tak tere gham ka saaya,
Log kehte hain neya daur naye dukh laya,

Mera meyaar-e-wafaa hi meri majboori hai,
Rukh badal kar bhi tujhe apne muqaabil paya,

Charagar aaj sitaron ki kasam kha ke bata,
Kis ne insaan ko tabasum ke liye tarrpaya,

Log hanstey hain to is soch main kho jata hon,
Mauj-e-sailaab ne phir kis ka gharaunda dhaaya,

Uss ke andar koi fankaar chupaa betha hai,
Jaantey boojhtey jis shakhs ne dhoka khaya..

No comments:
Post a Comment