Friday, 8 August 2014

Na Ho Tughyan-e-Mushtaqi To Main Rehta Nahin Baqi

Na Ho Tughyan-e-Mushtaqi To Main Rehta Nahin Baqi
Ke Meri Zindagi Kya Hai, Yehi Tughyan-e-Mushtaqi

Mujhe Fitrat Nawa Par Pe-Ba-Pe Majboor Karti Hai
Abhi Mehfil Mein Hai, Shaid Koi Dard Ashna Baqi

Woh Atish Aaj Bhi Tera Nasheman Phook Sakti Hai
Talab Sadiq Na Ho Teri To Phir Kya Shikwa-e-Saqi !

Na Kar Afrang Ka Andaza Iss Ki Tabnaki Se
Ke Bijli Ke Charaghon Se Hai Iss Jouhar Ki Barraqi

Dilon Mein Walwale Afaaq Geeri Ke Nahin Uthte
Nigahon Mein Agar Paida Na Huwa Andaz-e-Afaqi

Khazan Mein Bhi Kab Aa Sakta Tha Main Sayyaad Ki Zad Mein
Meri Ghammaz  Thi Shakh-e-Nasheeman Ki Kam-Auraqi

Ulat Jaen Gi Tadbeerain, Badal Jaen Gi Taqdeerain
Haqiqat Hai, Nahin Mere Takhayyul Ki Ye Khallaqi

No comments:

Post a Comment