Friday, 8 August 2014

Subah Ka Sitara

Lutf-e-Humsayegi-e-Shams-o-Qamar Ko Chorun
Aur Iss Khidmat-e-Paigham-e-Sehar Ko Chorun

Mere Haq Mein To Nahin Taron Ki Basti Achi
Iss Bulandi Se Zameen Walon Ki Pasti Achi

Aasman Kya, Adam Abad Watan Hai Mera
Subah Ka Daman-e-Sad Chaak Kafan Hai Mera

Meri Qismat Mein Hai Har Roz Ka Merna Jeena
Saqi-e-Mout Ke Hathon Se Saboohi Peena

Na Ye Khidmat, Na Ye Izzat, Na Ye Riffat Achi
Iss Ghari Bhar Ke Chamakne Se To Zulmat Achi

Meri Qudrat Mein Jo Hota To Na Akhtar Banta
Qa’ar-e-Darya Mein Chamakta Huwa Gohar Banta

Waan Bhi Moujon Ki Kashakash Se Jo Dil Ghabrata
Chor Kar Behr Kahin Zaib-e-Guloo Ho Jata

Hai Chamakne Mein Maza Husn Ka Zaiwar Ban Kar
Zeenat-e-Taj-e-Sar-e-Bano-e-Qaisar Ban Kar

Aik Pathar Ke Jo Tukre Ka Nasiba Jaaga
Khatam-e-Dast-e-Suleman Ka Nageen Ban Ke Raha

Aesi Cheezon Ka Magar Dehr Mein Hai Kaam Shikast
Hai Guhr  Haye Giran Maya Ka Anjaam Shikast

Zindagi Woh Hai Ke Jo Ho Na Shanasaye Ajal
Kya Woh Jeena Hai Ke Ho Jis Mein Taqazaye Ajal

Hai Ye Anjaam Agar Zeenat-e-Alam Ho Kar
Kyun Na Gir Jaun Kisi Phool Pe Shabnam Ho Kar!

Kisi Paishani Ke Afshan Ke Sitaron Mein Rahun
Kisi Mazloom Ki Aahon Ke Shiraron Mein Rahun

Ashak Ban Kar Sir-e-Mazgan Se Atak Jaun Main
Kyun Na Uss Biwi Ki Ankhon Se Tapak Jaun Main

Jis Ka Shohar Ho Rawan Ho Ke Zrah Mein Mastoor
Sooye Maidan-e-Dagha, Hub-e-Watan Se Majboor

Yaas-o-Umeed Ka Nazara Jo Dikhati Ho
Jis Ki Khamoshi Se Taqreer Bhi Sharmati Ho

Jis Ko Shohar Ki Raza Taab-e-Shakeebai De
Aur Nigahon Ko Haya Taqat-e-Goyai De

Zard., Rukhsat Ki Ghari, Aariz Gulgoon Ho Jaye
Kashish-e-Husn Gham-e-Hijar Se Afzoon Ho Jaye

Lakh Woh Zabt Kare Par Main Tapak Ho Jaun
Saghir-e-Didah-e-Purnam Se Chhalak Ho Jaun

Khak Mein Mil Ke Hayat-e-Abdi Pa Jaun
Ishq Ka Souz Zamane Ko Dikhata Jaun

No comments:

Post a Comment