Friday, 8 August 2014

Syed Ki Loh-e-Turbat

Ae Ke Tera Murgh-e-Jaan Taar-e-Nafas Mein Hai Aseer
Ae Ke Teri Rooh Rooh Ka Taeer Qafas Mein Hai Aseer

Iss Chaman Ke Naghma Pairaon Ki Azadi To Dekh
Sheher Jo Ujra Huwa Tha, Uss Ki Abadi To Dekh

Fikr Rehti Thi Mujhe Jis Ki Woh Mehfil Hai Yehi
Sabr-o-Istaqlaal Ki Khaiti Ka Hasil Hai Yehi

Sang-e-Turbat Hai Mera Gerwida-e-Taqreer Dekh
Chashm-e-Batin Se Zara Iss Loh Ki Tehreer Dekh

Mudda Tera Agar Dunya Mein Hai Taleem-e-Den
Turk-e-Dunya Qoum Ko Apni Na Sikhlana Kahin

Wa Na Karna Firqa Bandi Ke Liye Apni Zuban
Chup Ke Hai Baitha Huwa Hangama-e-Mehshar Yahan

Wasl Ke Asbab Paida Hon Teri Tehreer Se
Dekh! Koi Dil Na Dukh Jaye Teri Taqreer Se

Mehfil-e-Nau Mein Purani Dastanon Ko Na Chhair
Rang Par Jawab Na Ayen Un Afsanon Ko Na Chhair

Tu Agar Koi Mudabbar Hai To Sun Meri Sada
Hai Dalairi Dast-e-Arbab-e-Siasat Ka Asa

Arz-e-Matlab Se Jhijhak Jana Nahin Zaiba Tujhe
Naik Hai Niyyat Agar Teri To Kya Parwa Tujhe

Banda-e-Momin Ka Dil Beem-o-Riya Se Paak Hai
Quwwat-e-Farman-Rawa Ke Samne Bebaak Hai

Ho Agar Hathon Mein Tere Khana-e-Maujiz Raqam
Sheesha-e-Dil  Ho Agar Tera Misal-e-Jaam-o-Jam

Paak Rakh Apni Zuban, Talmeez-e-Rehmani Hai Tu
Ho Na Jaye Dekhna Teri Sada Be-Abru!

Sone Walon Ko Jaga De Shair Ke Ejaz Se
Khirman-e-Batil Jala De Shaola-e-Awaz Se

No comments:

Post a Comment