Saturday 9 August 2014

Tarana-e-Hindi

Sare Jahan Se Acha Hindustan Humara
Hum Bulbulain Hain Iss Ki, Ye Gulistan Humara

Gharbat Mein Hon Agar Hum, Rehta Hai Dil Watan Mein
Samjho Waheen Humain Bhi, Dil Ho Jahan Humara

Parbat Woh Sub Se Uncha, Humsaya Asman Ka
Woh Santri Humara, Woh Pasban Humara

Godi Mein Khailti Hain Iss Ki Hazaron Nadiyan
Gulshan Hai Jin Ke Dam Se Rashak-e-Jinaan Humara

Ae Aab-e-Rood-e-Ganga! Woh Din Hain Yaad Tujh Ko?
Utra Tere Kinare Jab Karwan Humara

Mazhab Nahin Sikhata Apas Mein Bair Rakhna
Hindi Hain Hum, Watan Hai Hindustan Humara

Yunan-o-Misar-o-Roma Sab Mit Gye Jahan Se
Ab Tak Magar Hai Baqi Naam-o-Nishan Humara

Kuch Baat Hai Ke Hasti Mitti Nahin Humari
Sadiyon Raha Hai Dushman Dour-e-Zaman Humara

Iqbal! Koi Mehram Apna Nahin Jahan Mein
Maloom Kya Kisi Ko Dard-e-Nihan Humara

No comments:

Post a Comment