Nahin
Minnatkash-e-Taab-e-Shaneedan Dastan Meri
Khamoshi Guftugu Hai,
Be-Zubani Hai Zuban Meri
Ye Dastoor-e-Zuban
Bandi Hai Kaisa Teri Mehfil Mein
Yahan To Baat Karne
Ko Tarasti Hai Zuban Meri
Uthaye Kuch Waraq
Lale Ne, Kuch Nargis Ne, Kuch Gul Ne
Chaman Mein Har Taraf
Bikhri Huwi Hai Dastan Meri
Urha Li Qumriyon Ne,
Tootiyon Ne, Andleebon Ne
Chaman Walon Ne Mil
Kar Loot Li Tarz-e-Faghan Meri
Tapak Ae Shama Ansu
Ban Ke Parwane Ki Ankhon Se
Sarapa Darun Hun,
Hasrat Bhari Hai Dastan Meri
Elahi ! Phir Maza
Kiya Hai Yahan Dunya Mein Rehne Ka
Hayat-e-Javidan Meri!
Na Marg-e-Naghaan Meri !
Mera Rona Nahi, Rona
Hai Ye Sare Gulistan Ka
Woh Gul Hon Main,
Khazan Har Gul Ki Hai Goya Khazan Meri
“Dareen Hasrat Sra
Umarist Afsoon-e-Jaras Daram
Za-Faiz-e-Dil Tapeedan
Ha Kharosh-e-Be Nafas Daram”
Riyadh-e-Dehr Mein
Na-Ashnaye Bazm-e-Ishrat Hon
Khushi Roti Hai Jis
Ko, Main Woh Mehroom-e-Mussarat Hun
Meri Bigri Huwi
Taqdeer Ko Roti Hai Goyai
Main
Harf-e-Zair-e-Lab, Sharminda’ay Gosh-e-Sama’at Hun
Preshan Hun Main
Musht-e-Khaak, Lekin Kuch Nahin Khulta
Sikandar Hun Ke
Aaeena Hun Ya Gard-e-Kadoorat Hun
Ye Sub Kuch Hai Magar
Hasti Meri Maqsad Hai Qudrat Ka
Sarapa Noor Ho Jis Ki
Haqiqat, Main Woh Zulmat Hun
Khazeena Hun, Chupaya
Mujh Ko Musht-e-Khak-e-Sehra Ne
Kisi Ko Kya Khabar
Hai Main Kahan Hun Kis Ki Doulat Hun!
Nazar Meri Nahin
Mamnoon-e-Sair-e-Arsa-e-Hasti
Main Woh Chotti Si
Dunya Hon Ke Ap Apni Walayat Hon
Na Sehba Hun Na Saqi
Hon, Na Masti Hon Na Pemana
Main Iss Mai
Khana-e-Hasti Mein Har Shay Ki Haqiqat Hun
Mujhe Raaz-e-Do Alam
Dil Ka Aaeena Dikhata Hai
Wohi Kehta Hun Jo
Kuch Samne Aankhon Ke Ata Hai
Atta Aesa Byan Mujh
Ko Huwa Rangeen Byabanon Mein
Ke Baam-e-Arsh Ke
Taa’ir Hain Mere Hum Zubanon Mein
Asar Ye Bhi Hai Ek
Mere Junoon-e-Fitna Saman Ka
Mera Aeena’ay Dil Hai
Qaza Ke Raaz Danon Mein
Rulata Hai Tera
Nazara Ae Hinduston! Mujh Ko
Ke Ibrat Khaiz Hai
Tera Fasana Sub Fasanon Mein
Diya Rona Mujhe Aesa
Ke Sub Kuch De Diya Goya
Likha Kalk-e-Azal Ne
Mujh Ko Tere Noha Khawanon Mein
Nishan-e-Barg-e-Gul
Tak Bhi Na Chorh Iss Bagh Mein Gul-Cheen !
Teri Qismat Se Razm
Arayan Hain Baghbanon Mein
Chupa Kar Asteen Mein
Bijliyan Rakhi Hain Gardoon Ne
Anadil Bagh Ke Ghafil
Na Baithen Ashiyon Mein
Sun Ae Ghafil Sada
Meri, Ye Aesi Cheez Hai Jis Ko
Wazifa Jaan Kar
Perhte Hain Taair Bostanon Mein
Watan Ki Fikar Kar
Nadan! Musibat Ane Wali Hai
Teri Barbadiyon Ke
Mashware Hain Asmanon Mein
Zara Dekh Uss Ko Jo
Kuch Ho Raha Hai, Hone Wala Hai
Dhara Kya Hai Bhala
Ehd-e-Kuhan Ki Dastnon Mein
Ye Khamoshi Kahan
Tak? Lazzat-e-Faryad Paida Kar
Zameen Par Tu Ho Aur
Teri Sada Ho Asmanon Mein
Na Samjho Ge To Mit
Jao Ge Ae Hindustanon Walo !
Tumhari Dastan Tak
Bhi Na Ho Gi Daston Mein
Ye Aaeen-e-Qudrat
Hai, Yehi Asloob-e-Fitrat Hai
Jo Hai Rah-e-Amal
Mein Gaamzan, Mehboob-e-Fitrat Hai
Hawaida Aaj Apne Zakhm-e-Pinhan Kar Ke Chorun Ga
Lahoo Ro Ro Ke Mehfil
Ko Gulistan Kar Ke Chorun Ga
Jalana Hai Mujhe Har
Shama-e-Dil Ko Souz-e-Pinhan Se
Teri Tareek Raaton
Mein Charaghan Kar Ke Chorun Ga
Magar Ghunchon Ki
Soorat Hon Dil-e-Dard Ashna Paida
Chaman Mein
Musht-e-Khak Apni Preshan Kar Ke Chorun Ga
Parona Aik Hi Tasbeeh
Mein In Bikhare Danon Ko
Jo Muskhil Hai, To
Iss Mushkil Ki Asan Kar Ke Chorun Ga
Mujhe Ae Hum Nasheen
Rehne De Shughal-e-Seena Kawi Mein
Ke Main
Dagh-e-Mohabbat Ko Numayan Kar Ke Chorun Ga
Dikha Doon Ga Jahan
Ko Jo Meri Ankhon Ne Dekha Hai
Tujhe Bhi
Soorat-e-Aaeena Hairan Kar Ke Chorun Ga
Jo Hai Pardon Mein
Pinhan, Chashm-e-Beena Dekh Leti Hai
Zamane Ki Tabiyat Ka
Taqaza Dekh Leti Hai
Kiya Riffat Ki Lazzat
Se Na Dil Ko Ashna Tu Ne
Guzri Umer Pasti Mein
Misal-e-Naqsh-e-Pa Tu Ne
Raha Dil
Basta-e-Mehfil, Magar Apni Nigahon Ko
Kiya Bairoon-e-Mehfil
Se Na Hairat Ashna Tu Ne
Fida Karta Raha Dil
Ko Haseenon Ki Ada’on Par
Magar Dekhi Na Iss
Aaeene Mein Apni Ada Tu Ne
Taassub Chorh Nadan!
Dehr Ke Aaeena Khane Mein
Ye Tasveerain Hain
Teri Jin Ko Samjha Hai Bura Tu Ne
Sarapa
Nala-e-Baidad-e-Souz-e-Zindagi Ho Ja
Sapand Aasa Girah
Mein Bandh Rakhi Hai Sada Tu Ne
Safa’ay Dil Ko Kiya
Araish-e-Rang-e-Taaluq Se
Kaf-e-Aaeena Par
Baandhi Hai O Nadan Hina Tu Ne
Zameen Kya, Asman Bhi
Teri Kaj Beeni Pe Rota Hai
Ghazab Hai
Satar-e-Quran Ko Chalipa Kar Diya Tu Ne !
Zuban Se Gar Kiya
Touheed Ka Dawa To Kya Hasil !
Banya Hai Butt-e-Pindar
Ko Apna Khuda Tu Ne
Kunwain Mein Tu Ne
Yousaf Ko Jo Dekha Bhi To Kya Dejha
Are Ghafil! Jo Mutliq
Tha Muqayyad Kar Diya Tu Ne
Hawas Bala’ay Manbar
Hai Tujhe Rangeen Byani Ki
Nasihat Bhi Teri Soorat Hai, Ek Afsana Khawani Ki
Dikha Woh Husn-e-Alam
Souz Apni Chashme-Purnam Ko
Jo Tarpata Hai
Parwane Ko, Rulata Hai Shabnam Ko
Nira Nazara Hi Ae
Bu-Al-Hos Maqsad Nahin Iss Ka
Banaya Hai Kissi Ne
Kuch Samajh Kar Chashme-e-Adam Ko
Agar Dekha Bhi Uss Ne
Sare Alam Ko To Kya Dekha
Nazar Ayi Na Kuch
Apni Haqiqat Jaam Se Jam Ko
Shajar Hai Firqa
Arayi, Taassuf Hai Samar Iss Ka
Ye Woh Phal Hai Ke
Jannat Se Nikalwata Hai Adam Ko
Na Utha
Jazba-e-Khursheed Se Ek Barg-e-Gul Tak Bhi
Ye Riffat Ki Tamana
Hai Ke Le Urti Hai Shabnam Ko
Phira Karte Nahi
Majrooh-e-Ulfat Fikar-e-Darman Mein
Ye Zakhami Aap Kar
Lete Hain Paida Apne Marham Ko
Mohabbat Ke Sharar Se
Dil Sarapa Noor Hota Hai
Zara Se Beej Se Paida
Riyaaz-e-Toor Hota Hai
Dawa Har Dukh Ki Hai
Majrooh-e-Taegh-e-Arzoo Rehna
Elaj-e-Zakham Hai
Azad-e-Ehsaan-e-Rafoo Rehna
Sharab-e-Bekhudi Se
Ta Falak Parwaz Ha Meri
Shikast-e-Rang Se
Sikha Hai Main Ne Ban Ke Boo Rehna
Thame Kya Dida’ay
Giryan Watan Ki Noha Khawani Mein
Ibadat
Chashm-e-Shayar Ki Hai Har Dam Ba-Wazoo Rehna
Banayen Kya Samajh Kar
Shakh-e-Gul Par Ashiyan Apna
Chaman Mein Aah! Kya
Rehna Jo Ho Be Abroo Rehna
Jo Tu Samjhe To Azadi
Hai Poshida Mohabat Mein
Ghulami Hai
Aseer-e-Imtiaz-e-Mawatu Rehna
Ye Astagna Hai, Pani
Mein Nigun Rakhta Hai Saghar Ko
Tujhe Bhi Chahye
Misl-e-Habab-e-Aabju Rehna
Na Reh Apnon Se
Beparwa, Issi Mein Khair Hai Teri
Agar Manzoor Hai
Dunya Mein Ao Begana Khor! Rehna
Sharab-e-Rooh Parwar
Hai Mohabbat Nu-e-Insan Ki
Shikaya Iss Ne Mujh
Ko Mast Bejaam-o-Saboo Rehna
Mohabbat Hi Se Payi
Hai Shafa Bimaar Qoumon Ne
Kiya Hai Apne
Bakht-e-Khufta Ko Baidar Qoumon Ne
Byaban-e-Mohabbat
Dasht-e-Ghurbat Bhi, Watan Bhi Hai
Ye Wairana Qafas Bhi,
Ashiyana Bhi, Chaman Bhi Hai
Mohabbat Hi Woh
Manzil Hai Ke Manzil Bhi Hai, Sehra Bhi
Jaras Bhi, Karwan
Bhi, Rahbar Bhi, Rahzan Bhi Hai
Marz Kehte Hain Sub
Iss Ko, Ye Hai Lekin Marz Aesa
Chupa Jis Mein
Ilaj-e-Gardish-e-Charakh-e-Kuhan Bhi Hai
Jalana Dil Ka Hai
Goya Sarapa Noor Ho Jana
Ye Parwana Jo Souzan
Ho To Shama-e-Anjuman Bhi Hai
Wohi Ek Husn Hai,
Lekin Nazar Ata Hai Har Shay Mein
Ye Sheerin Bhi Hai
Goya, Bestoon Bhi, Kohkan Bhi Hai
Ujaarha Hai
Tameez-e-Millat-o-Aaeen Ne Qoumon Ko
Mere Ahl-e-Watan Ke
Dil Mein Kuch Fikar-e-Watan Bhi Hai?
Sakoot Aamoz
Tool-e-Dastan-e-Dard Hai Warna
Zuban Bhi Hai Humare
Munh Mein Aur Taab-e-Sukhan Bhi Hai
"Nameegar Deed
Ko The Rishta’ay Ma’ani Raha Kardam
Hikayat-e-Bood Be
Payan, Bakhamoshi Ada Kardam"
No comments:
Post a Comment