wo koi aur na tha chand Khushk patte the
shajar se tut k jo fasl-e-gul pe roye the
abhi abhi tumhain socha to kuch na yad aya
abhi abhi to ham ek-dusare se bichre the
tumhare bad chaman par jab ik nazar dali
kali kali main Khizan k chirag jalate the
tamam umr wafa ke gunahgar rahe
ye aur bat ki ham adami to ache the
shab-e-Khamosh ko tanhai ne zaban de di
pahar gunjte the dasht sansanate the
wo ek bar mare jin ko tha hayat se pyar
jo zindagi se gurezan the roz marte the
naye Khayal ab ate hain dhal ke zahan main
hamare dil main kabhi khet lahlahate the
ye irtiqa ka chalan hai k har zamane main
purane log naye admi se darte the
'Nadeem' jo bhi mulaqat thi adhuri thi
k ek chehre ke piche hazar chehre the
No comments:
Post a Comment