Zehno main khayal jal rahe hain
sochon ke alav-se lage hain
duniya ki girift main hain saye
ham apna wajud dhundate hain
ab bhuk se koi kya marega
mandi main zamir bik rahe hain
mazi main to sirf dil dukhate the
is daur main zehan bhi dukhe hain
sir katate the kabhi shahanshah
ab log zuban katate hain
ham kaise churain shab se daman
din nikla to saye chal pare hain
lashon ke hujum main bhi hans dain
ab aise bhi hausale kise hain
No comments:
Post a Comment