Monday 8 September 2014

Abhi Ghar Na Jana

Abhi Ghar Na Jana Abhi Ghar Na Jana..
Ye Bikhri Si zulfain
Ye Phela Sa Kaajal
Ye Pheeka Sa Gajra
Ye Simta Sa Anchal
Tere Haal Sey Log Pehchan Lenge
Tujhe Dekh Kar Sub Mujhe Jaan Lenge…
Mujhe Jan Lenge……
Abhi Ghar Na Jana Abhi Ghar Na Jana..
Jo Poche Ga Koi Tu Tum Kia Kahogi
Sawalo Ki Bochar Me Chup Rahogi
Pareshan Ghabrai Si Khamushi Me
Jawabo Ki Manzil Bohot Door Hogi
Bozorgo Ki Ankhe Ura Degi Rangat
Saheli K Tane Kaha Tak Sahogi
Na Ban Jai Apna Milan Ek Fasana.
Abhi Ghar Na Jana Abhi Ghar Na Jana..
Ye Behke Qadam Larkharati Jawani
He Betab Dil Or Muhabbat Diwani
Shafaq Jese Galo Pe Aubhri Hovi He
Mere Hontoon Ki Ek Mehekti Nishani
Tere Jism Se Urti Meri Ye Khusho
Suna Degi Har Ek Ko Sari Kahani
Na Banjai Khud Jaal Har Ek Bahana
Abhi Ghar Na Jana Abhi Ghar Na Jana.
Khuda Na Kare Ab Tere Bin Jiyon Me
Ye Dunya Tu Kia He K Jannat Na Loon Me
Tere Ashk Me Apni Ankhoo Me Bharlo
Jo Maut Aay Tu Tere Badle Maroo Me
Ye Jiwan Tu Kia He Jo Mil Jai Mujko
Tu Ye Chand Suraj Bhi Sadke Karo Me
Agar Mar Gai Phir Janam Leke Aana….
Abhi Ghar Na Jana Abhi Ghar Na Jana..
Abhi Ghar Na Jana Abhi Ghar Na Jana.

No comments:

Post a Comment