abhi heiN zinda marey nahin hain
ke sard, jazbey parey nahin hain
abhi bhulaya nahin hey hum ney
yeh kal ki lagti hey baat goya
ke sard, jazbey parey nahin hain
abhi bhulaya nahin hey hum ney
yeh kal ki lagti hey baat goya
wuh aik ahl-e-nazar ke jis ney
alag watan ka tha khwaab daikha
aur aik azm o amal ka paikar
ke jis ki be-lous kaawishon ney
alag watan ka tha khwaab daikha
aur aik azm o amal ka paikar
ke jis ki be-lous kaawishon ney
khwaab tabeer kar dikhaya magar…..
na poochho ke is sehar mein
tha kitney taron ka khoon shamil
lutey thay maaoN key chaand kitney
na poochho ke is sehar mein
tha kitney taron ka khoon shamil
lutey thay maaoN key chaand kitney
huwi theen paimaal izzatein bhi
suhaag kitney ujar gaeye they
suhaag kitney ujar gaeye they
ye surkh lafzon ki daastaaN hey
lahu sey is ko raqam kia hey
magar hai yeh dastaan adhoori
abhi kuch abwaab reh gaeye hain
lahu sey is ko raqam kia hey
magar hai yeh dastaan adhoori
abhi kuch abwaab reh gaeye hain
ke jin ki takmeel ho rahi hey
chanaar sholay ugal rahey hain
wafa ke chashmey ubal parey hain
yeh sab shaheedon ka qaafla hey
chanaar sholay ugal rahey hain
wafa ke chashmey ubal parey hain
yeh sab shaheedon ka qaafla hey
kisi ke rokey kahin ruka hey ?
azal sey ta ba-abad hey jaari
isi mein muzmir baqa hamari
azal sey ta ba-abad hey jaari
isi mein muzmir baqa hamari
soo-e-adam hans ke jaaney walo
tumhein hamara salaam pohnchey
nishaan-e-baatil mitaney walo
tumhein hamara salaam pohnchey
diye wafa ke jalaney walo
tumhein hamara salaam pohnchey
tumhein hamara salaam pohnchey
nishaan-e-baatil mitaney walo
tumhein hamara salaam pohnchey
diye wafa ke jalaney walo
tumhein hamara salaam pohnchey
No comments:
Post a Comment