Sunday 7 September 2014

merey ehsaas ka resham ulajh kar tootney ko hey

Mujhey ma’loom hey asaan lagta hey
tumheiN raaheiN badal lena
koi bhi moR muR jaana
kisi manzil ko tohkar maar kar waapis chaley aana


ya manzil ko faqat ik junbish-e-lab sey
buhat nazdeek le aana
mujhey maloom hey 
buhat asaan hey tum ko palat jaana


merii tum be-bassi dekho
mujhey tum sey mohabbat k siwaa kuch nahi aata
magar iss meiN bhi kab koi qareena seekh paai meiN
ye dekho aankh rona chahti hey


phir bhi banjar hey
ye dekho haath kitney sard hein merey
ye dekho dil ki dharkan kis tarah
tarteeb khoh kar doobney ko hey


ye dekho mera aanchal haathoN sey phissal kar urr geya kab sey
ye dekho saans ki dorri bhi mujhsey chuhtney ko hey
merey ehsaas ka resham ulajh kar tootney ko hey
mujhey tou ye hunar bilkul nahi aata


k kaesey apney zakhmoN ko chuhpaatey heiN
ya kaesey dard ko darmaaN banaatey heiN
ya kaesi roothttei saansoN ka daaman 
thaam kar waapis bulaatey heiN


buhat be-khaawab aur weeran mosam meiN
khafa neendoN ko kya kah kar manaatey heiN
mujhey ye hunar bilkul nahi aata
k kaesey apney mar jaaney pe nohey aap kartey heiN


yaa apney hi galey lag kar dilaasa kaesey bantey heiN
phir apni hi laash ko kaesey
kisi paayaab dariya…….
ya kisi adh-bujhi taaza chitaa meiN jhohnk detey heiN


ya phir aakaash ke neechey khula hi chohr detey heiN
mujhey tou ye hunar bilkul nahi aata
ke kaesey zard mousam meiN
kisi bhi sard aur be-dard mousam meiN


khushi ka aik bhi Ghuncha
bhala kaesey khilaatey heiN
ya kaesey aadhey rastey sey gharoN ko louT jaatey heiN
mujhey bilkul nahi aata


mujhey tum sey mohabbat ke siwa
 magar wuh bhi kahaaN aai
koi hunar bilkul nahi aata..!!

No comments:

Post a Comment