Thursday, 25 September 2014

Bani Thii Dozakh Bala Say Bantii Azaab E Hijjr O Sanam Na Hota

Adam Mein Rehtay To Shaad Rehtay, Isey Bhi Fikr E Sitam Na Hota
Jo Hum Na Hotey To Dil Na Hota, Jo Dil Na Hota To Gham Na Hota

Hoii kHajalat Sey Nafrat Afzoo’n Gillay Kiye Khoob Aakharien Dum
Wo Kaash Eik Dum Thehar K Aatey, K Meray Lab Par Bhi Dum Na Hota

Para Hai Marna Bus Ab To Hum Ko, Jo Us Ney Khat Parh Key Nama-Bar Say
Kaha K Gar Such Yeh Haal Hota, To Daftar Itna Rqam Na Hota

Jo Aap Dar Say Utha Na Daitey, Khien Na Karta Mani Jib-Hey-Saaii
Agar-Cha Yeh Sar-Nawisht Mein Tha, Tumhaarey Sar Kii Qasam Na Hota

Visaal Ko Hum Tras Rhay Thay Jo Ab Hua To Maza Na Paya
Addo Kay Marnay Kii Jab Khushii Thi K Us Ko Ranj O Alam Na Hota

Whaan Traqii Jamal Ko Hai Yhaan Mohabbat Hai Roz Afzoo’n
Shareek E Zaiba Tha Boo-Al-Hawas Bhi Jo Be-Wafaii Mein Kum Na Hota

Visaal To Hai Kahan Muyyasar Magar Khyaal E Visaal Mein Hii
Mazay Uraatey Hawas Nikalti Jo Saath Andaaz E Rimm Na Hota

Hua Musalmaa’n Main Aur Dar, Sey Na Dars E Vaaizz Ko Sun Key “Momin”
Bani Thii Dozakh Bala Say Bantii Azaab E Hijjr O Sanam Na Hota

No comments:

Post a Comment