Shehar Ka Shehar Agar Aaye Bhii Samjhaney Ko
Is Sey Kya Farq Pray Ga Teray Dewaney Ko
Jis Qadar Weham Hain Sab Us Key Atta Karda Hain
Liye Phirta Hon Kisi Aur Key Butt-Khaney Ko
Yeh Hunar Wo Hai Jo Dil Sey Kabhi Seekha Na Gya
Too Nay To Jorr Liya Torr Kay Paimaney Ko
Kya Koii Khail Hai Be-Naam O Nishan Ho Jana
Waisey Shama Bhii Tyaar Hai Jal Janey Ko
Wo Ajab Shakhs Tha Kal Jis Sey Mulaqaat Hoii
Main Milla Hon Kisi Jaaney Hoye Anjany Ko
Aaj Key Dukh Bhi Kisi Sey Nahi Jhailay Jatey
Yaad Mat Kar Kisi Bhooley Hoye Afsaanay Ko
Door Tak Raat Kii Aankhon Mein Khien Neend Nahien
Itna Sanata Hai K Aaye Koii Tarpanay Ko
Zindgii Bhar Mein Koii Shaey To Mukamil Kar Lien
Aao Labraiz Karien Sabr Key Paimanay Ko
Yeh Alag Baat K Eik Boond Muqadar Mein Na Thi
Sar Pey So Baar Ghata Chaaii Rhii Chaaney Ko
Shaam Honey Ko Hai Jalnay Ko Hai Sham E Mehfil
Saans Lainey Ko Bhi Fursat Nahien Parwaney Ko
No comments:
Post a Comment