Saturday, 20 September 2014

Bina jurm-o-khata khud ko koi aesi saza dena

Bina jurm-o-khata khud ko koi aesi saza dena
bohat mushkil hey meri jaaN tumhaiN yaksar bhula dena


merey Mola agar tu ne dubara zindagi bakhshii
tou bas itni guzaarish hey , mujhe patthar bana dena!


maiN zehni taur pe khud ko zara tayyar kar looNgi
bichar janay sey kuch pehlay mujhey humdam bata dena


tumhari yeh shararat aaj tak hai naqsh dharkan pe
dabay paooN chalay aana mera jhumka hila dena


phir iske ba’ad jiske pas bhi jao ijazat hey
mujhe ik baar apne naam ki mehndi laga dena


faqat itni guzarish thi mujhe kuch roshni day do !
tumhaiN kisne kaha tha yeh meri basti jala daina


jisay barish ke paani maiN baha kar muskuratay they
mujhe kaaghaz ki wuh kashti zara phir say bana dena


umar bhar phir tumhara rasta taknay say acha hey
ke tum janay say kuch pehlay meri aankhaiN bujha dena


tumhaiN is baar chitthi meiN faqat yeh baat likhni hey
ke saawan laut aaya hey mujhey jhoola jhula dena..!!

No comments:

Post a Comment