Chalo tumko batatay hein
Kay tum ko daikh ker dil nay
Kaha tum rishta’e jaan say bhee bher ker hu!
Du’a ki serhadoon per
Ju adhori hay meri aisi tamana hu!
Meray dil ka mukaddar hu…
Kay tum ek roshni bunker
Shifa lay ker,
Kisi dast-e-maseeha ki terhan
Utray huway her zakhm-e-jaan per hu!

Chalo tumko batatay hein k tum ema’n hamara hu
Siray-e-dehr mein,
Andeesha hayee zindagani mein
Tumhein dil ka sahara hu
Ju rooh k aasman per jagmagaya hay muhabbat say
Suhani sham ki chahatoon ka pehla tara hu
Wafa ka ista’ra hu…
Siray-e-dehr mein,
Andeesha hayee zindagani mein
Tumhein dil ka sahara hu
Ju rooh k aasman per jagmagaya hay muhabbat say
Suhani sham ki chahatoon ka pehla tara hu
Wafa ka ista’ra hu…
Chalo tumko batatay hein
Kay humnay zindagi kay sub warq lay ker
Sabhi sat’roon mein likh li hay tamana tumko panay ki
Zamanay bher mein shayid katib-e-taqdir kay hatoon
Meray dil nay likh li hay tumhari chah ki khuwahish
Tumhari aarzoo’n ka ju ek idraak hay mujhko
kisi meinhu nahi sakta
Tumhari muskurahat ka ju ek arman hay mujh mein
kisi mein hu nahi sakta

Chalo tumko batatay hein…
No comments:
Post a Comment