Dil-e-be khabar, zara hosla..!
Koi aisa ghar bhi hai shehar mein,
jahan har makeen ho mutma’in?
Koi aisa din bhi kahee’n pe hai,
jisay khof-e-aamad-e-shab nahi?
Ye jo gard baad-e-zamaa’n hai, ye azal se hai, koi ab nahi..!
Dil-e-be khabar, zara hosla..!
Ye jo khaar hain tere paao’n mein,
ye jo zakhm hain tere hath mein
Ye jo khwab phirtay hain dar-ba-dar,
ye jo bat uljhi hai bat mein
Ye jo log bethay hain ja-ba-ja, kisi an-banay se dayaar mein
Sabhi aik jese hain sar-giraa’n, gham-e-zindagi k fishar mein
Ye saraab yunhi sada se hain, isi raigzaar-e-hayat mein
Ye jo raat hai tere chaar-su, nahi sirf teri hi ghaat mein
Dil-e-be khabar, zara hosla..!
Tere saamnay wo kitab hai, jo bikhar gyi ho waraq waraq
Hmain apnay hissay k waqt mein, isay jorna hai sabaq sabaq
Hain ibaart’ain zara mukhtalif, magar aik asl-e-sawal hai
Jo samajh sako to ye zindagi, kisi haft-khwaa’n ki misaal hai
Dil-e-be khabar zara hosla, nahi mustaqil koi marhala
Kya ajab keh kal ko yaqeen banay,
ye jo muztarab sa khayal hai
Kisi roshni mein ho munqalib, kisi sarkhushi ka naqeeb ho
Ye jo shab numa si hai be-dili, ye jo zard-ru sa malal hai
Dil-e-be khabar, zara hosla…!
No comments:
Post a Comment