Inkaar Kya Karey Gii Hawa Meray Saamney
Ghar Ka Har Eik Chiraagh bUjha Meray Saamney
Yaad Aa Na Jaaye MaQtal e Yaraa’n Kii Raat Phir
Naizey Pey kOii Sar Na Saja Meray Saamney
Us Key KhalOos Mein Bhi ZarOorat Ka Rang Tha
Wo Dey Rha Tha mUjh Ko dUa Meray Saamney
mUjh Sey BiChar Key Khat Mein Likhi Us Ney Dil Ki Baat
kyOn Us Ko HOsla Na hUa Meray Saamney
Meray LahOo Sey Tera Libaada Bhi Tarr hUa
Ab Mera Soaq tOo Na Manna Meray Saamney
Dil Par hAi NaQsh Lutf e Azeezaan Ka SilSila
Sab Pey Karam wO Meray Siwa Meray Saamney
wO jhOot Hii Sahii mUjhey yOn Bhi Aziz hAi
Kehna Tha jO Bhi Us Ney Kaha Meray Saamney
Jaisey Mein AaShnaaye Chaman Hii Na Tha Kabhii
gUzrii hAi yOn Bhii Aaj Saba Meray Saamney
wO Lamha e NazOol e Qyamat Sahii Magar
Eik Din tO Aaye Mera KHUDA Meray Saamney
Kal Tak jO Aaiyenay Sey Bhi Naazuk Mazaaj Tha
“Mohsin” wO Shakhs tOot Gya Meray Saamney
No comments:
Post a Comment